Sughra Ko Moharram Ka Jab Chand Nazar Aaya
Yaade Shahe Waala Ne, Dill Or Bhi Tarpaya
Chand Ko Dekh Ke Sughra Ne Kaha Haye Hussain
Aagaya Mahe Moharram Per Nahi Aaye Hussain
Yaad Pardes Main Aati Hai Lahad Amma Ki
Dil Ka Ahwaal Sunanane Ko Kahan Jaye Hussain
Aap Aaye Na Khabar Aayi Na Akbar Aaye
Kaise Iss Haal Main Sughra Se Jiya Jaye Hussain
Jab Se Yeh Chand Moharram Ka Nazar Aaya Hai
Amma Roti Hain Tujhe Aye Mere Maa Jaye Hussain
Koi Tasveer Toh Zahra Ki Rahi Pardey Main
Yeh To Accha Hua Sughra Ko Nahi Laaye Hussain
Naam Par Shah Ne Akbar Ke Kharidi Hai Zameen
Kaise Jaagir Tujhe Bhai Ki Dikhlaye Hussain
Eid Bhi Soug Ke Aalam Main Guzari Usne
Haye Akbar Kabhi Kehti Thi Kabhi Haye Hussain
Mustakil Shah Ki Aankhon Se Thy Aansoo Jari
Khate Sughra Ko Mukkammal Nahi Padh Paye Hussain
Aik Ek Beti Se Rukhsat Hue Khaime Main Magar
Haye Afsos Ke Sughra Se Na Mil Paye Hussain
Likh Ke Noha Yeh Takallum Ne Dua Mangi Hai
Har Azadar Ko Ashur Pay Bulwaye Hussain
