Main Khak e Karbala hon

Main Khak E Karbala Hon Rutbaa Mera Juda Hai
Binte Ali  Ne Mujh Ko Chadar Bana Liya Hai
Main Khaak E Karbala Hon Rutbaa Mera Juda Hai

Karte Hain Rashk Mujh Par Kausar Ke Bhi Kinaare
Zainab  Ke Sar Main Maine Do Saal Hai Guzaare
Mera Har Ek Zarra Har Zulm Ka Gawaah Hai

Akbar  Jawaan Qasim Ghazii Se Chaand Taare
Zainul Imaan Meri Aagosh Mein Utaare
Yaani Lahoo Nabi Ka Mujh Mein Mila Hua Hai

Roti Hon Yaad Kar Ke Wo Bekasi Ka Manzar
Maula  Chhupa Rahe The Mujh Mein Wo Laashe Asgar
Uss Din Se Aaj Tak Na Mujh Ko Sukoon Mila Hai

Shohdaa E Karbala Ke Zakhmon Ko Maine Chooma
Zehra Ki Betiyon Ke Kadmo Ko Maine Chooma
Iss Waaste He Meri Taaseer Main Shifa Hai

Akbar Ki Lash Par Jab Shabbir Jaa Rhe The
Uthte The Baithte The Aur Ladhkhada Rhe The
Manzar Woh Abh Bhi Meri Aankhon Mein Phir Rha Hai

Ayy Zaaereen E Maula Chalna Yahan Sambhal Kar
Quraan Fatima  Ka Bikhra Hua Hai Mujh Par
Naa Jaane Kis Jagah Par Kis Ka Lahoo Gira Hai

Tauqeer Tu Bhi Karle Aale Aba Ka Matam
Jo Shaam Main Gayi Thi Uss Berida Ka Matam
Mamnoon Maatami Ki Makhdoom Fatima  Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *