Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha

Aaye Jis Waqt Aseeron Main Wo Tadfeen Ke Baad
Ro Ke Karte Thy Ye Abid E Muztar Faryaad

Aisi Haalat Main Tha Laasha Abbas Ka
Main Uthata Raha Wo Bikharta Raha
Dadi Zahra Ki Paamal Thi Yun Dua

Maine Chaha Ke Mayyat Ho Yakjaa Rahe
Apne Haathon Se Baazu Chacha Ke Chune
Pattharon Se Laeeno Ne Maara Unhe
Tukre Tukre Mujhe Baazu Unke Mile
Koi Baazu Bhi Unka Salamat Na Tha

Chaar Su Laash Yun Unki Mujh Ko Mili
Jaise Mayyat Thi Qasim Ki Bikhri Hui
Baba Jaan Ne Aba Main Usay Chun Liya
Ye Bhi Mumkin Na Tha Haye Gurbat Meri
Aik Qaidi Tha Main Kaise Laata Aba

Apni Halat Karu Kis Tarhan Se Bayan
Aik Manzar Pe Meri Bandhi Hichkiyan
Pehluon Per Yun Naizo Ke Kuch Waar Thy
Yaad Dadi Ki Aane Lagi Pasliyan
Yun Shikasta Tha Laasha Sambhalta Na Tha

Dayin Jaanib Se Mayyat Uthayi Agar
Baayi Jaanib Kiya Hadiyon Ne Safar
Laash Pamal Lashkar Ne Is Tarhan Ki
Sher Ki Tukre Tukre Hui Thi Qamar
Mere Kandhon Pe Lasha Thehr Na Saka

Ran Main Larte Hue Zeen Se Jab Gira
Sar Juda Tan Juda Dono Baazu Juda
Mera Battees Barso Ka Kariyal Chacha
Cheh Mahine Ke Asgar Ke Jitna Bacha
Usko Ghoro Ne Pamal Aise Kiya

Teer Se Jis Ghari Ran Main Paani Baha
Aisa Lagta Tha Ghazi Ko Ayi Qaza
Misl E Ghazi Tha Mashkiza Abbas Ka
Na Wo Khaime Gaya Na Ye Khaime Gaya
Bawafa Ka Tha Mashkiza Bhi Bawafa

Qafila Laut Kar Jab Madine Gaya
Aake Akbar Ye Ummul Baneen Ne Kaha
Mera Abbas Maqtal Main Kaise Lara
Beta Sajjad Kya Haal Laashe Ka Tha
Maa Se Sajjad Roke Ye Kehne Laga

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *