Maqam E Sahib Uz Zaman Kahan

Gareeb E Zahra Farz Se Gira Zameen Pe Yahan
Maqam E Sahib Uz Zaman Kahan Aur Qatalgah Kahan

Hussain Zeen Se Utre Nhi Utara Gaya
Ali Ke Laal Ke Pehlu Main Naiza Mara Gaya
Zameen Pe Shah E Zaman Mun Ke Bal Gire Thy Yahan

Yahan Se Janib E Maqtal Gaye Hain Yun Mola
Laeen Ne Zulfon Ko Is Tarhan Shah Ki Kehncha
Zameen Pe Bante Gaye Sheh Ki Ariyon Ke Nishan

Tamacha Shimr Ne Mara Tou Boli Binte Ali
Wo Dekho Janib E Maqtal Kahan Ho Aye Ghazi
Tumhare Bhai Ki Toheen Ho Rahi Hai Wahan

Aye Shimr Phair Le Khanjar Yahin Pe Sheh Ne Kaha
Khuda Ke Wastay Binte Ali Ka Dil Na Dukha
Na Ja Ke Teelay Pe Zainab Khari Hui Hai Wahan

Laeen Ye Kehta Tha Hans Hans Ke Qatalgah Aakar
Main Ab Chalu Ga Gardan Pe Shah Ki Khanjar
Bhen Hussain Ki Wahan Hai Yahan Hussain Ki Maa

Chali Jo Taig Tou Mun Phair Kar Ali Bole
Na Dekh Paon Ga Iska Gala Main Katte Hue
Magar Sarhane Se Uthi Nhi Hussain Ki Maa

Bayan Kaise Ho Sajjad Dard Ka Lamha
Sue Furat Nazar Kar Ke Jab Ye Sheh Ne Kaha
Pila Do Pani Aye Abbas Khushk Hai Ye Zaban

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *