Ghareeb Zehra Ki Gurbat Suno Ay Ahle Aza
Akaila Reh Gaya Maqtal Main Jab Maira Mola
Sipah E Sham Na Charo Taraf Say Ghair Liya
Lab E Furat Har Ek Taraf Khoon Ka Piyasa
Tha Gul Charag E Imamat Abhi Bhujana Hai
Are Zameen Pa Zeen Sa Shabbir Ko Girana Hai
Ye Sun Ka Sang Kisi Na Jabeen Par Mara
Kisi Na Pehlu Main Barchi Ka Phal Utar Diya
Are Kisi Na Samna Aakar Chalayi Taig E Jafa
Ghareeb E Zehra Ka Zeen Par Sambhalna Mushkil Tha
Ali O Zehra Ko Ran Main Rulaya Jata Tha
Are Hussain Girte Nahi Thy Giraya Jata Tha
Laga Jo Teer Tu Asghar Ko Sheh Na Yad Kiya
Pukara Ghazi Ko Jis Waqt Sar Pa Gurz Laga
Lagi Jo Barchi Tu Akbar Ko Di Tarap Kay Sada
Tamacha Kholi Na Mara Tu Bolay Ya Zahra
Ali Ko Yad Kiya Sar Pay Zarb Chaltay Huwai
Hassan Ko Yad Kiya Mun Na Khoon Ughaltay Huwa
Zameen Sa Zeen Pa Hazrat Jo Mun Ka Bal Aye
Jo Teer Seena Main Thay Wo Pust Sa Nikal Aye
Nikal Sa Pehlu Sa Sab Barchion Ka Phal Aye
Karar Kis Tarah Ab Sheh Ko Ek Pal Aye
Raqab Pairon Sa Ibn Ali Ki Chut Gayi
Tamam Pasliyan Sibt E Nabi Ki Toot Gayi
Raqam Kiya Hai Ye Ravi Na Dard Ka Manzar
Ke Chalna Wala Tha Jis Dum Hussain Pa Khanjar
Are Bahan Sa Agaye Khari Thi Hussain Ki Dukhtar
Kaha Ye Shimr Sa Us Dam Gahreeb Sa Rokar
Meri Sakina Kahi Dum Na Toar De Zalim
Raham Kar Mare Baalo Ko Chor De Zalim
Para Tha Dasht Main Be Jan Batool Ka Beta
Hussain Zinda Hai Kiya Shimr Sa Kisi Na Kaha
Qareeb Ja Ke Ye Shimr Na Di Hass Ka Sada
Are Wo Daikho Agayi Maqtal Main Sani E Zehra
Ye Sunta He Shah E Dilgheer Uth Ka Bhaith Gaye
Bahan Ka Naam Pa Shabbir Uth Ka Bhaith Gaye
Ye Keh Ka Agaye Barha Hath Main Liye Khanjer
Udhar Tarapna Lagi Ek Lash Darya Par
Idhar Khayam Say Nikli Batool Ki Dukhter
Ajeeb Be Adabi Ye Shimr Na Ki Akar
Are Zara Si Bhi Na Murawat Dhikhai Zalim Na
Kalam E Pak Ko Thokar Lagayi Zalim Na
Ajab Tarha Sa Sitamgar Ye Kar Raha Tha Sitam
Kabhi Hussain Ki Zabulfon Main Hath Tha Bahum
Pakar Kar Risha Mubarak Kabhi Hasa Azlm
Hataya Balon Ko Khanjar Sa Shimr Ne Aik Dum
Kaha Hussain Ne Dekho Zara Ali Akbar
Laeen Ne Rakh Diya Zanoo Humare Seene Per
Chali Jo Zarb Farsidhton Ne Muh Ko Phair Liya
Farishta Kya Thy Naibiyon Ne Muh Ko Phair Liya
Hate Nabi Tu Rasoolon Ne Muh Kop Hair Liya
Chale Rasool Tu Waliyon Ne Muh Kop Hair Liya
Hassan Rasool Ali Bole Ab Khuda Jane
Hussain Jane Gala Jane Fatima Jane
Ab Iske Agye Taqllum Bayan Kya Hoga
Lagi Jo Zarbain Na Nikla Lahoon Kai K Qatra
Laeen Ghaiz Main Aakar Ye Sada Dene Laga
Hussain Jaldi Bata Mojza Ye Hain Kesa
Kaha Ghareeb Ne Tu Piyar Maa Ka Kya Jane
Gale Pe Mere Gala Rakh Diya Hai Zehra Ne
Kaha Hussain Ne Ama Hata Le Apna Gala
Mazeed Ap Hon Zakhmi Ye Ho Nahi Sakta
Gale Pe Shah Khanjar Laeen Ka Jo Chala
Sadain Ati Thi Subhanrabi Yaalla
Pisar Ka Khoon Baha Syeda Ki Goadi Main
Sar E Hussain Kata Fatima Ki Goadi Main
