Mar Gaya Baap Magar Manti Nahi Zainab

Ajeeb Waqt Hai Yeh Fatimaؑ Ke Beton Pe
Janaza Baba Ka Ghar Se Uthayain Wo Kaise
Behan Ko Jab Bhi Churate Hain Barh Ke Mayyat Se
Woh Baar Baar Lipathti Hai Baap Se Jaake

Mar Gaya Baap Magar Manti Nahi Zainab
Churane Se Bhi Kafan Chorti Nahi Zainab

Kabhi Wo Baba Ke Galon Pe Gaal Rakhti Hai
Kabhi Wo Shane Hilati Hai Matha Chumti Hai
Yateemi Kya Hai Abhi Janti Nahi Zainab

Qareeb Aake Kabhi Chehra Dekhte Hain Hussain
Behan Ki Sanson Ki Aawaaz Sun Rahe Hain Hussain
Pidar Se Lipti Hai Kuch Bolti Nahi Zainab

Ye Pehla Gham Hai Abhi Rok Le Behan Aansu
Kaha Hussainؑ Ne Zainabؑ Ke Choom Kar Baazu
Ye Tera Kufa Main Gham Aakhri Nahi Zainabؑ

Gire Jawan Ki Lashe Pe Jis Tarah Koi
Giri Thi Baap Ki Mayyat Pe Us Tarah Beti
Hassanؑ Uthate Rahe Par Uthi Nahi Zainabؑ

Ye Roke Fiza Se Kehne Lage Hussainؑ o Hassanؑ
Wo Zakhm Dekh Rahi Hai Hata Ke, Hata Ke Kafan
Shikasta Baap Ka Sar Bhoolti Nahi Zainabؑ

Nishani Baba Ki Seene Se Jab Lagaye Gi
Use Amame Se Baba Ki Khushbu Aaye Gi
Lahu Laga Hai Magar Poonchhti Nahi Zainabؑ

Madad Ko Aayein Baqee’a Se Fatimaؑ Zehraؑ
Wo Dekh Dekh Roti Hai Hai Baap Ka Chehra
Abhi Kisi Ki Taraf Dekhti Nahi Zainabؑ

Tumhari Aas Pe Jee Legi Ab Behan Abbasؑ
Qareeb Aake Chura Do Tumhi Kafan Abbasؑ
Tumhara Kehna Kabhi Taalti Nahi Zainabؑ

Qareeb Aaye Jo Ghaziؑ Behan Ne Chora Kafan
Tu Bole Ghaziؑ Se Zeeshan Aur Raza Ye Hassanؑ
Tumhara Chehra Agar Dekhti Nahi Zainabؑ

Leave a Comment

error: Content is protected !!