Medine Jaun

Ay Bhai Hussaina
Rehai Paa Ke Jo Zindan Se Be Watan Aayi
Ye Kehke Gir Gayi Naaqe Se Roke Chillai
Ke Mere Haal Pe Roti Hai Ab Tu Tanhai
Salam Karne Ko Aai Hai Teri Maa Jayi
Tu Hi Bata Mere Bhaiyya Kahan Sukoon Pau
Madine Jaau Ya Karbobala Mein Reh Jau

Sitam Ne Loot Li Ek Din Mein Kainat Meri
Na Jaane Kaise Basar Hogi Ab Hayaat Meri
Na Din Sukoon Se Guzrega Ab Na Raat Meri
Kahan Hai Laal Mere Jo Sunin Gain Baat Meri

Main Tujh Ko Chor Ke Bhaiya Kahi Na Jaungi
Main Teri Qabr Ko Apna Watan Banaungi
Main Ek Choti Si Basti Yahi’n Basaungi
Main Zaereen Ko Paani Yehi Pilaungi

Akeli Reh Gayi Atthara Bhaiyo Ki Bahan
Jo Hota Ghazi Tu Banti Na Bazuo Mein Rasan
Batau Kya Ke Jo Puchenge Mujhse Ehle Watan
Hussain Ko Diya Tumne Batao Kaise Kafan

Na Koi Mera Yahan Hai Na Koi Mera Wahan
Sakina Shaam Main Hai Dafn Aur Tu Hai Yahan
Kahan Kahan Kise Royegi Ab Meri Amma
Na Hoga Ab Kabhi Abaad Fatema Ka Makan

Yahan Hai Asghare Besheer Aur Waha’n Jhula
Yahan Pe Aun o Mohammad Wahan Pe Abdullah
Jo Pucha Bacho Ko Unse Main Kahungi Kya
Madina Dil Hai Mera Rooh Meri Karbobala

Yahan Hai Qasim E Khasta Badan Wahan Kubra
Yahan Shabih e Payambar Wahan Pe Hai Sughra
Wahan Pe Fazl Akela Yahan Pe Sab Kunba
Jawab Kitne Sawalon Ka Dungi Mai Tanha

Ye Haath Jor ke Kehti Hai Teri Maa Jayi
Duaein Dengi Mere Bhai Meri Tanhai
Bus Ek Din Ko Mere Saath Chal Mere Bhai
Lagega Jaise Madine Mein Phir Bahaar Aayi

Lo Jaa Rahi Hai Bahan Alwida Mere Bhai
Rahi Jo Zinda Tu Phir Aayegi Ye Maa Jayi
Raza Ye Sunte He Qabr E Hussain Tharrayi
Phir Iske Baad Kabhi Ye Sada Nahi Aayi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *