Mara Gaya Hai Naize Se Beta Hussain Ka
Ye Sun Ke Ajab Haal Tha Mola Hussain Ka
Kabhi Girte Thy Kabhi Uthte Thy
Kehte Thy Hussain Ye Ro Ro Kar
Mera Akbar Maar Diya
Kis Tarhan Uthaon Ga Lasha Haye Main Apne Kandhe Par
Bete Ki Judayi Aankhon Ki Beenayi Bhi Le Jaati Hai
Ek Maa Ja Ja Kar Khaimo Ki Deewaron Se Takrati Hai
Jab Baap Sadaein Deta Hai Ran Main Laashon Se Takra Kar
Armaan Akbar Ki Shadi Ka Mere Dil Main He Dam Tor Gaya
Socha Tha Main Usko Apne Haathon Se Banao Ga Dulha
Ye Baap Sajaye Ga Haye Ab Sehra Kis Ke Maathe Par
Athara Saal Jisay Pala Naazon Se Meri Zainab Ne
Barchi Ke Baad Us Bete Ko Talwaron Se Mara Sab Ne
Kis Tarhan Kahun Ga Khaimon Main Jab Jaon Ga Lasha Le Kar
Mujhe Hosla De Warna Beta Tera Baba Bhi Mar Jaye Ga
Mujh Se Tere Qatil Kehte Hain Tera Akbar Ab Na Ayega
Wo Naiza Dikha Kar Hanste Hain Jab Kehta Hoon Main Ro Ro Kar
Chalte Chalte Ye Kehte Huwe Haathon Se Kamar Ko Thaam Liya
Abbas Agar Tum Hote Tou Mera Akbar Bhi Zinda Hota
Pehle Tujhe Maar Diya Aur Ab In Shaam Ke Logon Ne Mil Kar
Jab Pas Akbar Ke Pohunche Zakhmi Uska Seena Dekha
Bete Ne Aakhri Hichki Li Jab Toota Hua Naiza Kheencha
Shabbir Ne Bas Ye Kehte Huwe Sar Rakh Diya Zakhmi Seene Par
Zeeshan O Raza Jab Beti Ka Khat Bete Ke Seene Pe Rakha
Shabbir Ke Ashkon Ki Tarhan Akbar Ka Khoon Tapakne Laga
Jis Haath Se Barchi Khenchi Thi Us Haath Se Likha Jab Khat Par
