Tere Jaisa He Uska Seena Hai Mere Akbar Ko
Mere Akbar Ko Kahin Dekha Hai
Kaise Tujhko Lagi Hai Ye Barchhi
Kya Khabar Ye Tere Padar Ko Mili
Main Tu Be Maut Mar Gaya Hota
Mere Akbar Ko Jo Lagi Hoti
Jaane Kyun Dil Mera Taraapta Hai
Mujhko Maloom Hai Wo Zakhmi Hai
Fauj Ye Uske Khoon Ki Piyasi Hai
Tere Seene Pe Jo Lahoo Hai Laga
Us Lahoo Main Tu Khusboo Uski Hai
Wo Yaqeenan Yahan Se Guzra Hai
Tu Nahi Usko Janta Hai Agar
Mujhko Pura Yaqeen Hai Is Par
Usko Jo Dekhe Bhoolta He Nahi
Is Qadar Wo Haseen Hai Mera Pisar
Chaudhawe Chand Jaisa Chehra Hai
Maine Usko Kaha Tha Aye Beta
Mujhko Mur Mur Ke Dekhte Jana
Haan Magar Is Tarah Gaya Hai Wo
Phir Palat Kar Kabhi Nahi Aya
Maine Har Simt Usko Dhoondha Hai
Jab Wo Zeen Se Zameen Pe Aya Hai
Aakhri Baar Usko Dekha Hai
Haye Binayi Jaa Chuki Meri
Ab Mera Din Mein Haal Aisa Hai
Mere Charon Taraf Andhera Hai
Main Jo Awaz Doon Wo Aayega
Haan Aa Ke Mujhko Gale Lagayega
Par Main Awaz Yun Nahi Deta
Apne Zakhmon Ko Wo Chupayega
Hai Bahadur Ali Ka Poota Hai
Aur Ye Soch Kar Bhi Main Chup Hoon
Wo Na Dekhe Jo Larkhara Ke Giroo’n
Apni Quwat Ko Kar Raha Hoon Jama
Chal Ke Pairo’n Pe Main Wahan Pauhcho’n
Main Jo Tarpoon To Wo Tarapta Hai
Usne Tujhko Yahan Nahi Dekha
Chor Kar Warna Wo Nahi Jata
Tere Zakhmon Pe Rakhta Wo Marham
Tujhko Pani Mera Pisar Deta
Hayee Lekin Wo Khud Bhi Piyasa Hai
Bola Salman Azmi Wo Jawan
Main He Akbar Hon Mere Baba Jaan
Na He Gehra Hai Itna Zakhm E Jigar
Na He Sadma Koi Hai Zakhm E Sina
Jitna Sadma Tumhara Kehna Hai
