Mere Dil Main Ishq E Huzoor Hai
Main Jahan Mein Sab Se Ameer Hoon
Mujhe Tajdari Se Kya Gharaz
Main Dar E Nabi Ka Faqeer Hon
Lehad Mein Ishq E Muhammad Ka Dagh Rakhta Hon
Andheri Qabr Mein Roshan Chiragh Rakhta Hon
Main Ghulam E Panjtan E Paak Hon
Main Dar E Batool Ki Khaak Hon
Main Hassan Hussain Ka Hon Gadda
Main Saga Janib E Ameer Hon
Khaliq Ne Mujhe Meri Talab Se Siwa Diya
Sarmaya Daar E Ishq E Muhammad Bana Diya
Mujhe Mehr O Mah Se Kya Kaam
Tere Naqsh E Pa Pe Main Hoon Fida
Mujhe Kya Rahai Se Wasta
Teri Zulf Ka Main Aseer Hon
Kabhi Mere Zulmat Kade Mein Aa
Isa Apne Noor Se Jagmaga
Main Azal Ke Roz Se Muntazir
Tera Ayy Siraj E Munir Hon
Ye Ata Hai Ishq E Huzoor Ki
Mujhe Jis Ne Aisi Hayat Di
Jo Na Bujh Sake Wo Chiragh Hon
Jo Na Mit Sake Woh Lakeer Hon
Jise Kahiye Jood O Karam Ki Ja
Wo Hai Dar E Jahan Mein Huzoor Ka
Usi Dar Se Mujhe ko Khuda Mila
Usi Aastan Ka Faqeer Hon
Shah E Yathrbi Tere Husn Ki Kise Taab Jo Kare Humsari
Na Gulon Mein Aisi Shuguftagi Na Yeh Rang O Boo Na Yeh Tazgi
Teri Misal Koi Hua Na Ho Tere Sadqa Jaoon Main Ya Nabi
Main Hoon Sajid Dar E Mustafa
Ye Mere Huzoor Ki Hai Ata
Kahan Unka Dar Kahan Mera Sar
Main Tu Ik Ghulam E Haqeer Hoon
