Mere Haider Ki Baat Alag Hai

Haan Mera Naaz Hai Ye Mera Humraz Hai Ye
Iss Ki Khilqat Pe Khuda Kehne Laga
Mere Haider Ki Baat Alag Hai

Mariyam Ko Bait Ul Maqadas Se Bahir Bheja Tha Jab Kibriya Ne
Ye Ghar Wiladat Ka Markaz Nahi Hai Jao Ye Bola Khuda Ne
Aayi Jab Tera Rajab Khud Ye Kehne Laga Rab
Aaiye Bint E Asad Salay Ala

Pohunche Jo Meraj Par Mustafa Tou Parde Se Aawaz Aayi
Aye Mere Mehboob Meri Mohabbat
Tum Ko Yahan Khainch Layi
Jab Wo Aawaz Suni Aa Gaye Yaad Ali
Thi Muhammad Ke Labon Par Ye Sada

Mera Dil Kya Meri Dharkan Ki Tamana Hai Ali
Jo Meri Soch Se Bala Hai Woh Maula Hai Ali
Sab Se Aala Hai Nirala Hai Misali Hai Ali
Jis Ka Abbas Hai Beta Woh Jalali Hai Ali

Koi Be Zar Jo Chala Aaye Tou Abuzar Kar De
De Jo Parwaz Tou Shahbaz Qalandar Kar De
Kab Main Kehta Hoon Ke Salman Bana De Mola
Keh Do Mesum Se Mujhe Ishq Sikha De Mola
Chahe Kat Jaye Zabaan Ruk Na Paye Ye Azaan
Daar Par Doon Ye Sada

Ye Zulfiqar E Ali Janti Hai Chalna Hai Kis Par Kahan Se
Marhab Ka Sar Katne Ke Liye Jab
Haider Ne Khaincha Maiyaan Se
Chom Kar Dast E Jali Bol Uthi Taigh E Ali
Aaj Aaye Ga Katayi Ka Maza

Khyber Se Jab Aaye Shair E Khuda Tou Zahra Se Talwar Boli
Aisay Kalai Chalai Ali Ne
Maidan Mein Aye Saheli Sar Se Marhab Ke Chali
Farsh Par Aa Ke Ruki
Kaat Ke Us Ka Badan Main Ne Kaha

Man Kuntu Mola Ka Ayelan Sun Kar Chilla Ke Haris Ye Bola
Mujh Par Azab E Khuda Aa Pare Gar
Hai Ye Ali Sab Ka Mola
Sar Pe Kankar Jo Laga Aayi Haris Ko Qaza
Jitne Munkir Thy Unhein Kehna Para

Bole Muhammad Ke Salman Jao Aur Sab Ko Paband Kardo
Jitnay Bhi Darwazay Masjid Ke Andar
Khultay Hain Sab Band Kardo
Ye Bhi Keh Dena Zara Hai Yehi Hukam E Khuda
Band Na Hoga Dar E Shair E Khuda

Jab Hui Jang E Ohad Keh Ke Allah Madad
Pohunchay Maidaan Mein Muhammad
Tou Ye Lashkar Se Kaha
Jao Sab Apni Jagah Aur Suno Hukam Mera
Jab Talak Main Na Kahon Chorna Mat Apni Jagah
Ye Magar Ho Na Saka Jhota Ayelan Hua
Mustafa Mare Gaye Jab Ye Lashkar Ne Suna
Bhool Gaye Apna Sharf Bhage Sab Ghar Ki Taraf
Jab Hue Tanha Nabi Shair Khuda Ka Pohuncha
Arsh Se Talwar Chali Bas Ye Sada Deti Hui La Fata Illa Ali
Phir Ali Aisa Lare Ran Mein Dushman Na Ruke
Ghar Jo Bhage Thy Wo Laute Tou Muhammad Ne Kaha
Chori Kyun Tum Ne Jagah Tou Bhagoron Ne Kaha
Jan Pyari Thi Yahan Rukte Tou Kha Jati Qaza
Bolay Haider Se Nabi Tum Kyun Gaye Na Ali
Tou Ali Kehne Lage Jab Sada Aayi Mujhe
Mustafa Mare Gaye
Tou Mere Dil Ne Kaha Aaj Sab Khatam Hua
Jab Muhammad He Nahi Jeene Ka Maqsad He Nahi
Sun Ke Ye Bole Nabi Wah Kya Kehne Ali
Phir Bhagoron Se Muhammad Ne Kaha

Ghazi Ki Chokhat Pe Baithe Hue Thy Honton Pe Bas Ye Dua Thi
Aye Mola Abbas Hum Par Karam Ho
Midhat Karein Murtaza Ki
Abhi Jari Thi Dua Ho Gayi Hum Pe Atta
Mil Ke Kehne Lage Zeeshan O Raza

Leave a Comment

error: Content is protected !!