Mere Mazloom Ali

Bain Karti Hi Rahi Qabar Se Yeh Bint E Nabi
Haye Mazloom Ali Mere Mazloom Ali
Mere Pehlu Ki Terhan Aap Ka Sir Hai Zakhmi

Gumbad E Khizra O Kaaba Main Bapaa Hai Matam
Toar Kar Band E Kafan Mein Ne Kiya Hai Maatam
Jis Ghari Aap Pay Masjid Mein Hai Talwar Chali

Mere Baba Sa Kiya Wada Nibhana Ke Liye
Khud Ko Tanha Kiya Islam Bachana Ke Liye
Shidat E Adal Taira Peeron Ki Zanjeer Bani

Qatal Mohsin Ho Ya Darbaar Mein Meri Paishi
Zabat Khud Par Kiya Aur Mujh Ko Tasalii Bhi Di
Aap Ki Terhan Jahan Mein Nahi Mazloom Koi

Aaj Kofe Ki Hai Shehzadi Tumhari Beti
Kal Isi Shehar Mein Aaye Gi Woh Ban Kar Qaidi
Aakhri Had Mere Wali Hai Yeh Gurbat Ki Teri

Is Ghari Khatam Hui Thin Meri Saari Khushiyan
Zindah Rehne Ki Mere Dil Mein Thi Hasrat Hi Kahan
Mein Ne Jab Aap Ki Gardan Mein Rasan Dekhi Thi

Waqt E Rukhsat Tha Qayamat Ye Tasalii Thi Magar
Aap Ka Saya Tu Baqi Hai Mere Bachon Par
Aap Ne Kaisay Vidaa Bachon Se Mangi Hogi

Bain Ye Mohsin O Darvaish Kiya Zahra Ne
Kal Unheen Ke Liye Aaye Thay Jinah Se Kapray
Aayi Hai Eid Pay Kufe Main Jin Aankhon Mein Nami

Leave a Comment

error: Content is protected !!