Mere Naseeb Main Karbala

Bohat Udaas Hoon Aur Dil Tarap Raha Hai Mera
Bari Tamanna Thi Dekhun Ga Aapka Roza
Main Dekhta Raha Sab Ja Rahe Thy Aye Maula
Kyun Is Baras Bhi Nahi Ja Saka Main Karbobala

Mere Naseeb Main Kya Karbala Nahi Maula
Ghulam Aap Se Ab Tak Mila Nahi Maula

Main Matami Hoon Bula Lein Mujhe Bhi Roze Par
Lahu Bahaaya Hai Apne Watan Main Reh Ke Magar
Haram Main Aap Ke Pursa Diya Nahi Maula

Main Chal Raha Hoon Julooson Main Arbaeen Ke Din
Hai Ye Bhi Aap Ke He Ishq Ka Safar Lekin
Najaf Se Karbala Paidal Chala Nahi Maula

Chupa Rakhi Hai Ziarat Ki Aarzu Man Main
Bohat Ghareeb Hoon Kuch Bhi Nahi Hai Daman Main
Siwa Tumhaare Kisi Se Kaha Nahi Maula

Dikha Dein Mojiza Ek Baar Karbala Aaon
Ya Main Bhi Sughra Ki Tarhan Watan Main Mar Jaaon
Aur Intezar Ka Ab Hai Hosla Nahi Maula

Haram Main Aath Muharram Alam Uthana Hai
Maqam E Akbar O Asghar Bhi Mujh Ko Jana Hai
Main Khaima Gaah Bhi Ab Tak Gaya Nahi Maula

Bula Lo Wasta Ghazi Ke Zakhmi Chehre Ka
Zameen Pe Chehre Ke Bal Zeen Se Jis Tarhan Wo Gira
Kata Ke Haath Koi Bhi Gira Nahi Maula

Ye Zaireen Se Maine Suna Hai Rote Hue
Hussain Aap Jahan Teen Roz Pyase Rahe
Wahan Unhein Koi Pyasa Dikha Nahi Maula

Hai Intezaar Main Zeeshan Abidi Kab Se
Habib Se Kahein Ashoor Par Bula Lein Mujhe
Raza Ka Naam Bhi Ab Tak Likha Nahi Maula

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *