Teer Talwar Liye Fouj Khari Saari Hai
Amma Dekho Yeh Mere Qatal Ki Tayyari Hai
Koi Talwar Se Mare Koi Maare Khanjar
Bhaala Maara Hai Kisi Ne Tu Kisi Ne Pathar
Khoon Se Chehra Bhara Gurz Laga Hai Sar Par
Khaak Jalti Hui Phenki Hai Mere Zakhamon Par
Zakham Itne Hain Ke Har Zakham Se Khoon Jaari Hai
Amma Mera Yeh Badan Chalni, Huwa Kuch Aise
Teer Seene Pe Lage Pusht Se Bahar Nikle
Ek Nezah Hai Huwa Paar Jo Pehlu Se Mere
Dard Uthta Hai Har Ek Tooti Hui Pasli Se
Saans Lene Mein Bhi Amma Bari Dushwari Hai
Zakham Khatay Huay Ghore Se Zameen Par Mein Gira
Tha Nidhaal Aisa Ke Utha Bhi Nahi Jaata
Dekha Yeh Haal Tu Phir Shimr Meri Samt Barha
Qatal Gaha Tak Mujhe Baalon Se Pakar Kar Laya
Han Tamanche Mujhe Thokar Bhi Mujhe Mari Hai
Tez Khanjar Jo Abhi Shimr Ne Hathon Mein Liya
Maar Ke Zor Se Pathar Pe Isay Kund Kiya
Meri Haalat Pe Usay Reham Nahi Aayega
Tera Zarbo Se Mera Sookha Gala Katay Ga
Pase Gardan Pe Har Ek Zarb Bohat Bhaari Hai
Dekha Jata Nahi Amma Bari Mushkil Hai Ghari
Rait Ke Teelay Pe Dekho Meri Zainab Hai Khari
Bhai Ka Katta Gala Aaj Behan Dekhe Gi
Roke Chillaye Gi Sar Pite Gi Ghash Khaye Gi
Ek Ek Lamha Yeh Zainab Pe Bohat Bhaari Hai
Bolein Phir Mazhar O Farhan, Yeh Zahra Ro Kar
Main Tere Sath Hon Har Lamha Mere Lakhte Jigar
Haaye Tharray Zameen, Chalne Laga Hai Khanjar
Rakh Diye Haath Teri Maa Ne Teri Gardan Par
Bole Shabbir Ke Haaye Meri Lachari Hai
