Muntazir Kab Talak Main Rahon Aye Imam
Meri Sansein Kahin Ho Na Jaein Tamam
Mola Mehdi Aa Jaiye
Deedar Ki Aakhri Aas Mein
Khat Likh Raha Hai Yeh Khadam Tumhein
Mola Mehdi Aa Jaiye
Kijiye Qabool Aaqa Mera Salam
Bas Ik Azadar Hai Mera Naam
Qabil Nahi Janta Hoon Magar
Kehta Hoon Khud Ko Tumhara Ghulam
Kya Hoon Mujhe Khud Yeh Batlaiye
Faryadein Our Istegase Hazoor
Sarkar Sunte Tu Hoon Gaye Zaror
Be-Chain Khud Bhi Hain Ghaibat Mein Aap
Kab Ho Ga Mula Bata Dein Zahoor
Hum Ko Na Ab Our Tarpaiye
Be Noor Kab Se Mere Nain Hain
Tanha Azadar e Behrain Hain
Kaba Ho Ya Ke Ho Karb o Bala
Sab Aap Ke Gham Mein Be Chain Hain
Sarkar Tashreef Le Aaiye
Lafzon Se Pardah Hatati Nahi
Apna Taruf Karati Nahi
Jab Se Gaye Aap Khamosh Hai
Aayat Maani Batati Nahi
Raz-e-Alif Lam Samjahiye
Tarteeb Marboot Ho Baat Se
Zahir Jalalat Ho Aayat Se
Kehta Hai Zooq-e-Tilawat Mera
Likha Jo Mula Ne Khud Hath Se
Mujh Ko Woh Quran Parhwaiye
Karni Hai Taskheer Sham Aap Ko
Lana Hai Haq Ka Nizam Aap Ko
Aye Waris-e-Zulfiqar-e-Ali
Lena Hai Jab Inteqam Aap Ko
Ghazi Ko Bhi Sath Le Aaiye
Hum Jamkaran Our Sehla Gaye
Ashkon Se Apne Aareeze Likhe
Giriya Kiya Our Nimazein Parhein
Jo The Jatan Bas Mein Sab Kar Liye
Har Ja Guzarish Thi Aa Jaiye
Khat Apna Karta Hoon Iss Par Tamam
Hai Mir Bhi Aap Ka Ik Ghulam
Hai Sibt e Jafar Ki Bhi Iltija
Kijiye Talab Ab Humein Ya Imam
Ya Aap Tashreef Le Aaiye
