Zainab Ka Chera Dekhte Hain
Aur Mola Rotay Jatay Hain
Abbas Ke Ansu Pohchte Hain
Shabbir Ko Kuch Samjhate Hain
Sar Dekh Ke Zakhmi Baba Ka
Jab Betiyan Rone Lagti Hain
Bachon Ko Tasali Ki Khatir
Zahra Ka Dard Sunate Hain
Zakhmi Mola Ki Ankho Main
Zakhmi Mashqiza Phirta Hai
Abbas Jari Ke Hathon Se
Qatil Ko Jaam Pilate Hain
Phirta Hai Nighon Main Manzar
Bazaro Ka Darbaro Ka
Kuch Dair Tou Ghar Ke Aangan Main
Zainab Ko Sath Chlate Hain
Ik Roz Is He Kufe Main Tumhe
Be Parda Haram Ko Lana Hai
Abid Ko Laga Kar Seene Se
Bazar Ka Haal Sunate Hain
Bhai Ke Sath Meri Zainab
Jaye Gi Jahan Jane Dena
Ye Tum Ko Wasiyat Hai Meri
Abdullah Se Farmate Hai
Saddat Ke Rone Ki Jo Sada
Parde Se Bahar Ati Hai
Pehchan Lo In Awazon Ko
Logo Sa Kehte Jate Hai
Maloom Tha Ik Din Shano Main
Zainab Ke Rasan Bandh Jaye Gi
Shabar Se Keh Ke Qatil Ke
Hathon Se Rasan Khulwate Hain
Jab Naza Ki Hichki Ati Hai
Zainab Pe Nazar Ruk Jati Hai
Allah Tujhe Abad Rakhe
Honton Se Dua Farmate Hain
Pucha Hai Takallum Zainab Ne
Haider Se Ye Akhri Sanson Main
Kyun Bazo Dekhe Jate Hain
Kyun Sar Ko Chume Jate Hain
