Mujhe Bhi Watan Le Chalo

Watan Jaane Walon Mujhe Bhi Watan Le Chalo
Main Kaise Rahungi Yahan Par
Yahan Hai Bhala Kaun Mera

Reha Hoke Ghar Jaane Walon Mujhe Bhi Kahin Par Bitha Lo
Shaheedo Ke Sar Hai Jahan Par Mujhe Bhi Wahin Par Sulado
Main Baba Ke Sar Se Lipat Kar Safar Kaat Lungi Ye Sara

Na Yun Chor Kar Jao Amma Mujhe Shamiyon Ke Sahare
Yateemi Ki Maari Hui Ko Sataya Bahot Zaalimo Ne
Bahot Khauf Aata Hai Mujhko Tumhe Wasta Sayeda Ka

Suna Hai Ke Wapas Milay Hai Tumhein Shimr Se Mere Gowhar
Bhala Kya Karoge Tum Unka Agar Rehgayi Mai Yahan Par
Inhi Bhi Amaanat Samajh Kar Ya Dafna Do Zindan Main Ya

Jo Pahuncha Madina Tu Amma Phir Raqte Musibat Na Aaye
Sina Aur Akbar Ki Baatein  Sunane Ki Naubat Na Aaye
Meri Laash Ko Dekh Kar He Samajh Legi Har Baat Sugra

Yehi Soch Kar Zayr e Turbat Tadapta Hai Dukhiya Ka Laasha
Mujhe Shimr Ke Shehr Main Ab Hamesha Hi Rehna Padega
Dhadakta Nahi Phir Bhi Amma Ye Dil Kaamp Jaata Hai Mera

Sare Shahe Deen Kuch Tu Bolo Sifarish Karo Kuch Hamari
Khaza Aagayi Hai Tu Phir Kya Mai Beti Hoo Baba Tumhari
Na Inkaar Kar Payengi Wo  Phupi Se Zara Kehdo Baba

Ye Haalat Thi Har Ek Qadam Par Madine Ke Raste Main Akbar
Giri Thi Jahan Par Sakina Tamache Lage Thay Jahan Par
Wahan Khaak Se Qaidiyo Ko Sadayein Ye Aati Thi Har Ja

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *