Mujhe Yad Rakhna

Janib e Karb o Bala Jab Bhi Koi Jata Hai
Us Ke Jane Ki Khabar Matami Jo Sunta Hai
Milne Zawwar Se Jata Hai Tarapte Hue Wo
Joar Kar Hath Wo Zawwar Se Ye Kehta Hai
Mujhe Yad Rakhna

Ayy Mehmaan e Mola Ye Ehsaan Karna
Mujhe Yaad Rakhna
Karo Ge Jo Shah Ko Salaam Aur Sajda
Mujhe Yaad Rakhna

Bulawa Mera Is Baras Bhi Na Aaya
Magar Pursa Meri Niyabat Mein Dena
Tumhe Yaad Rakhein Gi Khud Bibi Sugra

Wohi Tu Hain Sarwar Se Milwane Wale
Dua Meri Karna Unhi Ke Hawale
Habib e Mazahir Se Bas Itna Kehna

Suna Hai Nazar Aata Hai Jab Wo Roza
Kisi Ko Koi Bhi Nahi Yad Rehta
Duaon Main Apni Kahin Kho Na Jana

Tumhe Yad Rakhunga Main Majlison Mein
Mujhe Yad Rakhna Haram Ki Safon Mein
Yahi Tu Hai Haq Hum Pe Ik Dusre Ka

Mere Paas Hai Sirf Ashkon Ka Hadiya
Tumhe Aur Kya Dun Main Is Ke Ilawa
Salamat Rakhein Tum Ko Bali Sakina

Mujhe Is Qadar Yad Karna Hai Dekho
Ke Sham O Sehar Hichkiyan Aayein Mujh Ko
Wahan Hichkiyaan Le Ke Tum Jab Bhi Rona

Ziyarat Se Laut Kar Tum Jab Aana
Tabaruk Mein Bas Yeh Khabar Mujh Ko Dena
Mera Naam Tum Ne Wahan Par Likha Tha

Abalfazl Ko Dene Jao Ge Pursa
Tumhain Wasta Be Rida Bibiyein Ka
Haram Main Haram Ka Jo Noha Sunana

Jahan Par Chidi Hai Woh Mashk e Sakina
Jahan Par Jari Ko Bhi Maara Gaya Tha
Tum Is Nahr Mein Jab Areza Bahaana

Jo Haider Ye Baatein Hain Jo Yeh Aqeedat
Ye Hai Us Hussain Ibn e Haider Ki Sunnat
Ke Zainab Se Kehte The Khud Shah e Wala

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *