Shahnshahi Se Bhi Qeemti Hai
Taqt Se Bhi Bari Taaj Se Bhi Hasee Zakri Hai
Mustafa Ki Jo Ye Nokari Hai
Shahinsha Hai Ye Sab Ambiya Ke
Sab Nabi Inke Dar Ka Gadagar
Wo Ho Salman Ho Buzar Ya Qambar
Sab Ke Sab Inke Ghar Ke Hai Nokar
Sab Farishto Ka Sardar Hai Jo
Usko Bhi Nokri Ye Mili Hai
Apne Nokar Ka Mere Nabi Ne
Martaba Is Tarah Hai Barhaya
Duniya Bhar Main Jaha Bhi Gaya Main
Mujh ko Duniya Ne Sarr PeyBithaya
Jhuk Ke Milti Hai Mujh Se Ye Duniya
Nokri Ki Ye Ujrat Mili Hai
Qabr Main Jab Farishto Ne Dekha
Main Hon Masroof Zikr E Nabi Main
Bhool Bethe Sawalat Sare
Jhoom Utthe Wo Ishq E Nabi Main
Sunne Aye Hai Khud Panjatan Bhi
Qabr Main Khub Mehfil Sajii Hai
Madh khwan E Mohammad Jo Pohcha
Ahl e Jannat Ne Aankhain Bicha Di
Phool Barsaye Sab Ambiya Ne
Shamm e Tauheed Har Soo Jala Di
Has ke Kehte They Ye Hoor O Gilma
Tujh ko Allah Ne Izzat Ye Di Hai
Jo Hai Gustakh Mere Nabi Ka
Us Se Nafrat Hai Farhan Mujh Ko
Wo Jahannum Ka Indhan Bane Ga
Ye Batata Hai Quran Mujh Ko
Dushman E Mustafa Mera Dushman
Unke Aashiq Se Bas Dosti Hai
