Na Ro Maula

Na Ro Maula Na Ro Maula
Minhal Ne Ik Din Aake Kaha
Ayy Maula Mere Aye Zain Ul Aba
Gham Zyada Kahan Guzre Tum Par
Dil Tham Liya Khoon Rone Laga
Khoon Rota Huya Bas Itna Kaha
Assham Assham Assham

Minhal Tarap Kar Kehne Laga
Rone Ka Sabab Maula Hai Kya
Miras Shahadat Aap Ki Hai
Maula Ne Kaha La Raib Magar
Uff Tu Ne Nahi Insaf Kiya

Beshak Miras Shahadat Hai
Ye Aal e Nabi Ki Fitrat Hai
Sar Be Parda Maa Behno Ka
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya
Assham Assham Assham

Minhal Main Kaisa Zindah Hon
Pal Pal Jeeta Hon Marta Hon
In Aankhon Ne Jo Kuch Dekha
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya

Aagaz Hai Sham e Ghareebaan Sa
Khoon Tapka Chashm e Giriyaan Sa
Behno Ka Khula Sar Samne Tha
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kiya

Kaisa Bhulon Uss Manzar Ko
Naiza Pe Phophi Ki Chadar Ko
Sahil Se Jo Ghazi Ne Dekha
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya

Namoos e Payamber Be Chadar
Aur Sar Pe Barasta Wo Pathar
Tar Khon Main Tha Sab Ka Chehra
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya

Na Gham Tauq o Zanjeer Ka Tha
Gham Phophiyon Ka Humsheer Ka Tha
Bazar ke Ghum Ne Mar Diya
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya

Allah Mere Ye Had e Sitam
Pehron The Khare Darbar Mein Hum
Aur Takht Pe Qatil Betha Tha
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya

Ik Sham Ka Ik Zindan Ka Gham
Masoom Si Nanhi Jan Ka Gham
Jo Ho Na Saki Mar Ke Bhi Reha
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kiya

Rehan o Sarwar Sham Chalo
Our Sham Ki Wo Galiyan Dekho
Beemar Jahan Kehta He Raha
Ik Ye Bhi Meri Miras Thi Kya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *