Naad E Ali Un Mazhar Al Ajaib
Ali Ya Ali Ali Ya Ali Ali Ya Ali
Pehra Elahi Ap Pe Naad E Ali Ka Hai
Ek Khauf Mushkilat Pe Naad E Ali Ka Hai
Saya Ajaaibbat Per Naad E Ali Ka Hai
Ahsaan Kaainaat Per Naad E Ali Ka Hai
Hai Wird Dhadkano Ka Yahi Hai Ali Madad
Naad E Ali Simat Kar Bani Ya Ali Madad
Adam Sa Kar Raha Hai Safar Ya Ali Madad
Hai Murtaza Kay Zayr E Asar Ya Ali Madad
Taweez Hai Pahenlo Agar Ya Ali Madad
Karta Hai Mushkilaat Ko Sar Ya Ali Madad
Mahshar Main Jab Namaz Bhi Daman Churaye Gi
Bus Ya Ali Madad Ki Sada Kaam Ayi Gi
Hai Saamne Ki Baat Na Samja Ye Admi
Allah Ap Na Jism Tu Rakta Nahi Koi
Zaat E Khuda Ne Isliye Khud Ko Rakha Khafi
Dast E Khuda Ali Hai Lesan E Khuda Ali
Khud Azama Kar Dekho Nazar Aaye Gain Ali
Allah Madad Kaho Ge Magar Aaye Gain Ali
Jo Fakhr E Mustafa Hai Madad Ussa Magiye
Jo Naasir E Khuda Hai Madad Ussa Magiye
Jo Deen Ka Asraa Hai Madad Ussa Magiye
Jo Zinda Maujaza Hai Madad Ussa Magiye
Jo Khud He Mar Chuka Hai Wo Kaisa Bachaye Gain
Tum Hashr Tak Bulaate Raho Ge Na Aye Gain
Dam Dam Ali Ali Ki Aati Hai Jo Ye Sada
Dil Kah Raha Hai Chair Dun Khaibar Ka Waqiya
Khaibar Main Guunjti Hai Ye Salman Ki Pukaar
Lo Aa gaye Hai Haider E Karrar Hoshiyaar
Khush Aaj Mustafa Ke Sahabi Hai Beshumaar
Chupti Hai Maut Run Main Nikalti Hai Zulfiqar
Maidan E Kaar E Zaar Main Haider Utar Gaye
Jibreel Par Samaitlo Warna Ye Parr Gaye
Sarr Sarr Chali Jo Taigh Jo Marhab Ka Sar Gaya
Marhab Gaya Tho Dil Say Sahaba Kay Darr Gaya
Do Ungliyon Sa Utta Saron Sa Guzar Gaya
Abtak Nahi Pata Dar E Khaibar Kidar Gaya
Aati Shikanj O Ghaiz Main Unki Jabeen Par
Phir Dar Tu Kiya Qila Bhi Na Milta Zameen Par
Palta Alam Jo Mir Takallum Wo Gar Ke
Rak Dee Ali Nay Kufr Ki Basti Ujar Ke
Kehne Laga Ye Dast E Khuda Haat Jhaard Ke
Lo Aagai Hai Hum Dar E Khaibar Ukhar Ke
Jitnee Bhi Aaj Jisko Zaroorat Hai Loot Lo
Talwaare Choro Maal E Ghanimat Hai Lootlo\
