Nad e Ali a.s

Nad E Ali
Asal Main Yehi Tou Hai Yaad E Ali

Wajad Main Jab Bhi Tera Naam Main Leta Hoon Ali
Baithe Baithe He Najaf Ghoomta Rehta Hoon Ali
Dil Dharakne Ki Sadaon Main Bhi Sunta Hoon Ali
Aye Mere Mola Ali Ye Mohabbat Teri
Rah Jaisi Bhi Ho Mujhko Nahi Girne Deti

Khyberi Jang Main Chaleeswan Din Aaya Tou
Kaha Allah Ne Jibreel Nabi Se Keh Do
Wo Jo Mazhar Hai Ajaib Ka Pukaro Us Ko
Jab Ali Aaye Ga Sab Badal Jaye Ga
Jeet Jao Ge Abhi Jang Parho Mere Nabi

Khoya Rehta Hoon Shab O Rooz Teri Yaadon Main
Zindagi Ban Ke Tu Basta Hai Meri Sanson Main
Dil Laga Rehta Hai Har Waqt Teri Baaton Main
Aisa Lagta Hain Mujhe Sath Hai Tu Mere
Teri Yaadon Se Nikalne Nahi Deti Hai Kabhi

Mera Andaz Malangana Bana De Mola
Jo Tujhe Dekh Le Wo Dana Bana De Mola
Mujh Ko Behlool Sa Dewana Bana De Mola
Ishq Itna Hai Mujhe Mere Mola Tujh Se
Mere Seene Main Hai Dil Aur Hai Is Dil Pe Likhi

Rasta Neel Main Musa Ko Dikha Deta Hai
Kashti E Nooh Se Toofan Hata Deta Hai
Aur Kahin Naar Ko Gulzar Bana Deta Hai
Hazrat E Aadam Se Mustafa Tak Sab Ke
Kaam Aaya Hai Yehi Wird Jahan Jis Ne Parhi

Naiza Akbar Ke Kaleje Se Jo Khencha Tou Parhi Nad E Ali
Teer Be Sheer Ki Gardan Se Nikala Tou Parhi Nad E Ali
Aik Gathri Main Jo Qasim Ko Sameta Tou Parhi
Lasha Jab Aoun O Muhammad Ka Uthaya Tou Parhi
Kat Gaye Hath Gira Ghore Se Jab Yaad E Ali
Shah Lashe Pe Gaye Parhte Hue Nad E Ali
Al Gharaz Sheh Ka Gala Shimar Ne Jab Kata
Kuch Qadam Door Se Ro Ro Ke Behan Parhti Rahi

Pohunchi Darbar Ke Darwaze Pe Zainab Jis Dam
Khak Pe Aise Girin Phir Nahi Uth Paye Qadam
Yaad Baba Ki Jab Aayi Tou Hui Ankhein Nam
Ro Ke Zainab Ne Kaha Ho Kahan Aye Baba
Jab Madad Ke Liye Baba Ko Pukara Tou Parhi

Beriyon Par Jo Girati Rahi Pani La Kar
Jo Behan Shaam Tak Aayi Thi Tamache Kha Kar
Qaid Se Jo Nahi Ja Payi Rehai Pa Kar
Us Behan Ka Lasha Qabar Main Jab Rakha
Us Ghari Syed E Sajjad Ke Hoton Pe Thi

Jis Ke Seene Main Hai Gham Zehra Ke Ujre Ghar Ka
Bas Wo Darwash Hai Zeeshan O Raza Is Dar Ka
Us Pe Rehta Hai Karam Sham O Sahar Haider Ka
Ya Hussaina Kehna Gham Main Rote Rehna
Apne Saye Main Azadaron Tumhe Rakhe Gi

Leave a Comment

error: Content is protected !!