Zikr e Fatima namaz mein
Hoga barmila namaz mein
Maang lena tum bhi kainat
Jab ho Fatima namaz mein
Peechay sajday mein hain Asiya
Aage Fatima namaz mein
Kaash Fatima se bhi koi
Kuch to maangta namaz mein
Fatima kahin nahi gayin
Aaye Mujtaba namaz mein
Jashn e Fatima hai Sheikh Ji
Munh to mat bana namaz mein
Surah wal-Adiyat parh
Manqabat suna namaz mein
Yaad rakh Hussain ki namaz
Sab ko bhool ja namaz mein
Ghasibon pe be shumar kar
Aayega maza namaz mein
Sar kata hai ayatain nahi
Dekh mu’jiza namaz mein
Muskura rahi hain Fatima
Parh rahi hain kya namaz mein
Mil nahi rahe thay Murtaza
Rabta hua namaz mein
Meer Matami milega bas
Ya aza mein ya namaz mein
Poet: Mir Sajjad Mir
Manqabat Khuwan: Mir Sajjad Mir
