Nana Tere Hasnain Hain Hum

Nana tere Hasnain hain hum gham-e-madar sunane aaye hain
Teri turbat pe laadlay tere chand tukre sanad ke laaye hain 

Inaaman roz jis pe padhte the ab woh darwaza jal gaya Nana
Tere dar pe diya jalate hum usi dar ko bujha ke aaye hain 

Mushkilon se qadam uthati hai do qadam chal ke baith jati hai
Bin sahare woh chal nahi sakti zakhm aesy jigar pe khaye hain 

Daagh dooron ke kaise dikhlati baap ho tum se beti kya kehti
Jis kassa ke tale the hum saare neil uske tale chupaye hain 

Dil pe khai thi maut ki zarbat sar ke balon pe aagai ghurbat
Jab yeh kehte the log Zahra ne deen ke masle bhulaye hain

Ro ke Akbar yeh bole Shehzade sirf tahreer hi nahi thi woh
Bidh’atun minni ke tukre the jo hawa mein gaye uraye hain 

Shaair: Hasnain Akbar 

Nohakhwan o Soz: Asghar Khan 

Matami Sangat: Anjuman Gul Dasta Jafriya Lahore

Leave a Comment

error: Content is protected !!