Parda Duniya Ko Sikhane Wali Ayi Bazaron Main Zainab - ZIARAT AND Noha Lyrics

Parda Duniya Ko Sikhane Wali Ayi Bazaron Main Zainab

Parda Duniya Ko Sikhane Wali Ayi Bazaron Main Zainab
Ghar Se Bahar Bhi Na Ane Wali Aayi Bazaron Main Zainab

Jisne Baba Se Churaye The Kayi Baar Aseer
Qaidi Azaad Karane Wali Aayi Bazaron Main Zainab

Jalte Khaimon Se Utha Layi Abbas Ke Baad
Ali Abid Ko Bachane Wali Aayi Bazaron Mein Zainab

Deen Ki Khaatir Ye Bibi Salar Bani
Ban ke Abbas Dikhane Wali Aayi Bazaron Mein Zainab

Apne Seene Pe Sakina Ko Zindano Main
Baad Bhai Ke Sulane Wali Aayi Bazaron Mein Zainab

Nange Sar Parhti Rahi Khutbain Bazaro Mein
Kasr e Dushman Ko Hilane Wali Aayi Bazaron Mein Zainab

Kufi Aur Shami Bhi Sare Gaye Ye Maan Johar
Azmate Deen Ko Bachane Wali Aayi Bazaron Mein Zainab

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *