Parh Nad e Ali

Nad E Ali Parh Nad E Ali
Jis Ne Liya Hai Nam E Ali Us Ki Mushkil Tali
Parh Nad E Ali

Mayosiyan Hain Kaisi Dil Kyun Udas Hai
Aik Waseela Rab Ka Apne Jo Pas Hai
Ik Mashwara Sun Le Mera Gham Na Hoga Koi

Duniya Ki Chahat Apne Dil Se Nikal De
Dil Mein Basa Usay Jo Gham Tere Taal De
Tera Nabi Allah Bhi Bole Tujh Se Yehi

Meri Kashti Paar Laga De Soyi Taqdeer Jaga De
Tere Ishq Mein Dooba Jaon Aisi Barkha Barsa De
Apna Mera Tere Siwa Koi Nahi Mushkil Kusha
Mashriq Maghrib Makka O Najaf Bas Tu He Tu Hai Chaar Taraf

Dar Dar Bhatakne Wale Ik Baat Sun Zara
Nad E Ali Se Behtar Koi Nahi Dawa
Talay Qaza Bante Shifa Ik Din Tu Bhi Kabhi

Ik Baat Keh Doon Tujh Se Kya Tujhe Qabool Hai
Nad E Ali Ko Parhna Sunat E Rasool Hai
Qaul E Nabi Hai Bas Yehi Bigri Ban Jaye Gi

Sare Malang Lagaein Nara Lajpal Ka
Nobat Baje Tou Aaye Lutf Dhamal Ka
Lal Sakhi Aur Bu Ali Bolein Sab He Yehi

Nad E Ali Se Pehle Nad E Ali Ke Baad
Aisa Wazeefa Koi Kya Hai Kisi Ko Yaad
Maidan E Jang Ya Dil Ho Tang Aaye Jo Bhi Ghari

Ghar Mein Khuda Ke Logo Jis Ka Zahoor Hai
Kabe Ki Dewaron Ko Us Ka Shaoor Hai
Shak Ho Gayi Dewar Bhi Sun Ke Nam E Ali

Zahra Ka Shohar Ali Ali
Hai Nafs E Payamber Ali Ali
Hasnain Ka Baba Ali Ali
Molood E Kaba Ali Ali
Bhatko Tou Sahara Ali Ali
Doobo Tou Kinara Ali Ali
Nabiyon Ne Pukara Ali Ali
Eman Hamara Ali Ali
Tufan Ke Rukh Par Behta Ja
Bas Haider Haider Kehta Ja

Jhole Lal Kehne Wale Maula Ke Sang Hain
Meesum Ki Tarhan Mazhar Ali Ke Malang Hain
Ta Zindagi Ye Wird Bhi Hum Na Bhoolein Kabhi

Leave a Comment

error: Content is protected !!