Sina Kaleje Pe Akbar Ke Marne Wale
Pata Hai Kis Tarha Beta Jawan Hota Hai
Bare He Naaz Se Paala Hai Ye Jawan Pisar
Ye Mere Ghar Ka Ujala Ye Mera Noor E Nazar
Ye Mera Hasliyon Wala Riyazaton Ka Samar
Lahoo Main Dooba Hua Aediya’n Ragadta Hai
Ye Meri Goad Main Quran Ki Tarha Rehta Tha
Ye Noor Banke Meri Aankh Mein Chamakta Tha
Ye Saaya Banke Mere Saath Saath Chalta Tha
Meri Sada Pe Na Koi Jawaab Deta Hai
Ali Ki Betiyan Jhula Isa Jhulati Thi
Hijab E Noor Mein Lori Ise Sunati Thi
Janab E Umme Baneen Iske Naaz Uthati Thi
Aur Ab Hussain Yahan Iski Laash Uthata Hai
Jo Bachpane Mein Pakadke Ye Mera Haath Chala
To Haath Uthaake Ise Di Thi Zindagi Ki Dua
Khabar Na Thi Ke Mujhe Ye Bhi Dekhna Hoga
Ke Aaj Hathon Pe Akbar Tera Janaza Hai
Batao Tum Mein Koi Ho Jo Sahib E Aulad
Jawan Laal Ho Jismain Hai Wohi Ghar Aabad
Sitamgaro Ne Kiya Haye Mera Ghar Barbaad
Hawaye Zulm Se Ghar Ka Charagh Bujhta Hai
Hamare Seene Se Nikla Hai Dil Lahu Rota
Aur Apne Khaime Se Nikli Hai Zainabe Kubra
Najaf Se Nikle Ali Aur Madine Se Nana
Jab Iske Seene Se Barchi Ka Phal Nikaala Hai
Salam E Akhri Mujhko Kiya Tha Jab Isne
Na Pooch Humse Ke Aaye Yahan Pa Hum Kaise
Kabhi Uthe Kabhi Maqtal Ki Khaak Par Hai Gire
Zaeef Baap Se Ye Ghum Kahan Se Uthtaa Hai
Hua Hai Nauha Jo Meesum Teri Zaban Se Adaa
Ye Joshe Girya O Matam Bata Raha Hai Raza
Ke Nauha Sunne Yahan Aagaye Mere Maula
Har Ek Zabaan Pe Akbar Tera Hi Nauha Hai
