Peer Ghazi

Ba Wafa Abbas
Alma Wale Mere Alma Wale 
Alma Wale Mere Mashka Wale
Shah E Wafa Hai Sunta Sada Hai
Karta Ata Hai O Mera Peer Ghazi

Duniya Main Jis Ka Ye Parcham Ye Sohra
Ghar Ghar Saja Hai O Mera Peer Ghazi

Umul baneen Ki Ankhon Taara Jab Mola Ghazi Dharti Pe Aya
Us  Maa Ka Rutba Kitna Hai Aala Han Jisko Mila Hai

Ghazi Ka Rutba Hum Kiya Batayen Zahra  Ne Jisko Di Hai Duayen
Haider Ne Jiske Hai Naaz Uthaye Han Ese Palla Hai Mera Peer Ghazi

Baba Bhi Mola Bhai Bhi Mola Dono Ka Pyara Ghazi Bhi Mola
Har Dar Pe Jiski Hai Badshahi Han Wo Badhsha Hai O Mera Peer Ghazi

Haye Naize Pe Aya Jab Mola Ghazi  Behno Ke Sar Par Chadar Nahi Thi
Sare Safar Main Rahi Band Ankhain Han Rota Raha Hai O Mera Peer Ghazi

Bhoolen Gain Hum Ye Manzar Kabhi Na Roti Tarapti Dar Par Sakina
Pyasi Sakina Tere Gham Main Chacha Han Pyasa Gaya Hai O Mera Peer Ghazi

Jawad O Sarwar Ne Such Kaha Hai Sab Kuch Wafa Hai Sab Kuch Wafa Hai
Aulad e Zahra Se Pyar Karna Han Samjha Gaya Hai O Mera Peer Ghazi

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *