Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Kya Haal Yeh Ummat Ne Zehra Ka Banaaya Hai
Khatoon Koi Gham Se Yun Chur Nahi Dekhi
Aisi Koi Duniya Mai Mastoor Nahi Dekhi
Athhaara Baras Mai He Lagti Jo Zaeefa Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Darbaar Mai Zaalim Ne Kee Aisi Pazeeraai
Kis Tarha Se Tu Bibi Phir Laut Ke Ghar Aayi
Baalon Ki Safedi Ne Sab Haal Sunaaya Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Tu Roti Rahi Ghar Mai Haider Se Bhi Chhup Chhup Ke
Ismat Ki Tarha Dukh Bhi Parde Mai Rahe Tere
Kuch Dard Tere Bibi Bas Jaanti Fizza Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Do Aise Janaaze Hai Taarikh Mai Jo Utthe
Bas Ghar Ke Hii Logo Ne Dono Ko Diye Kaandhe
Ik Fatema Zahra Hai Ik Baali Sakina Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Marham Tere Zakhmon Ka Bibi Na Milaa Ab Tak
Aulaade Umayya Ki Baaqi Hai Jafaa Ab Tak
Rone Pe Bhi Pehra Tha Turbat Pe Bhi Pehra Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Mismaar Tera Rauza Ummat Ne Kiya Jab Se
Baba Tera Rehta Hai Turbat Pe Teri Tab Se
Kab Ghumbad-e-Khizra Mai Baba Tera Rehta Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
Mehdi Se Koi Puchhe Kya Uss Pe Guzarti Hai
Awaaz Baqayya Se Jab Rone Ki Aati Hai
Aankhon Se Lahu Rokar Woh Bhi Yehi Kehta Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai, Turbat Bhi Shikasta Hai
Tasweer Haqiqat Ki Khwaabon Ko Banaadijiye
Ai Bibi Taqallum Ko Taabir Dikhaadijiye
Matam Teri Turbat Pe Hote Huwe Dekha Hai
Pehlu Bhi Shikasta Hai Turbat Bhi Shikasta Hai
