Qabr Zahra Ki Banana Koi Aasan Na Tha
Phir Nishaan Us Ka Mitana Koi Aasan Na Tha
Baad Baba Ke Ajab Alam E Tanhai Tha
Aur Phir Sara Madina He Tamashai Tha
Fatima Par Woh Zamana Koi Aasan Na Tha
Hath Paband Hain Gardan Mein Hai Jis Ke Rasi
Hai Woh Mazloom Mera Waali Zamane Ka Wali
Ja Ke Dar Dar Pe Batana Koi Aasan Na Tha
Pasliyaan Toot Ke Yun Chur Thi Shehzadi Ki
Karne Lagti Thi Jo Khaliq Ki Ibadat Bibi
Hath Pehlu Se Hatana Koi Aasan Na Tha
Pucha Zainab Ne Jo Baloon Mein Safedi Kyun Hai
Ro Ke Beti Se Faqat Itna Kaha Zahra Ne
Bhare Darbar Mein Jana Koi Aasan Na Tha
Meekh Darwaze Ki Pehlu Mein Gari Thi Lekin
Dard Se Sans Bhi Lena Tha Jahan Na Mumkin
Phir Bhi Haider Ko Bachana Koi Aasan Na Tha
Thi Woh Ghurbat Ki Bohat Sakht Ghari Zahra Par
Qatal Mohsin Bhi Hua Mujh Pe Gira Jalta Dar
Gham Ye Haider Ko Batana Koi Aasan Na Tha
Qabr E Zahra Pe Ye Kehte Thy Ali Ro Ro Kar
Tha Mere Waste Aasan Uthana Khyber
Tera Taboot Uthana Koi Aasan Na Tha
Mamta Maa Ki Raza Hum Se Raqam Kaise Ho
Haye Darwaish Ke Us Dard Mein Bhi Bachon Ko
Apne Pehlu Mein Sulana Koi Aasan Na Tha
