Qaid Khane Se Sakina Ki Ye Aati Thi Sada
Pasliyan Toot Gayi Meri Bhi Dadi Ki Tarha
Mujh Ko Chalte Hue Naqe Se Giraya Baba
Hogayi Chaar Baras Mein He Sakina Zahra
Wo Bhi Dada Se Chupati Rahi Apna Pehlu
Mujh Se Bhi Dekhe Na Jayenge Ali Ke Aasu
Jeeteji Mere Mera Zakhm Na Dekhe Bhaiya
Kaise Aayi Hu Main Bazaar Se Hokar Baba
Mujhko Maare Gaye Is Zakhm Pe Patthar Baba
Roke Main Kehti Rahi Phir Bhi Kisi Ne Na Suna
Ab Samajh Sakti Hon Kis Tarha Wo Soti Hongi
Haath Pehlu Pe Rakhe Kaise Tadapti Hongi
Karwate Dard Mujhe Bhi Nahi Lene Deta
Hubahon Fatima Zehra Si Zaeefi Chayi
Jhurriyan Chehre Pe Baalo Mein Safedi Aayi
Ek Kami Baaqi Thi Wo Bhi Hui Poori Baba
Saath Suraj Ke Ye Dil Doob Raha Hota Hai
Amma Kehti Hai Yehi Waqt E Dua Hota Hai
Roz Karti Hu Sare Shaam Mai Marne Ki Dua
Jaake Jannat Mein Bhi Aaram Nahi Payega
Kya Ye Armaan Mera Dil Mein He Reh Jayega
Kaise Goadi Mein Uthaungi Main Asghar Ko Bhala
Aapka Sar Jale Daaman Mein Uthane Ke Liye
Haath Darbaar Mein Mushkil Se Uthaye Maine
Tumko Us Waqt Bhi Maine Na Bataya Baba
Gir Pari Khaak Pe Namoos E Nabi Peet Ke Sarr
Qaid Khane Mein Hui Aur Qayamat Akbar
Leke Sar Baap Ka Bachhi Ne Jo Ro Ro Ke Kaha
