Qasim Ibn e Hasan Hoon

Jo Hai Waqar Muttalabi Khandan Ka
Tum Ko Suna Raha Hoon Rajaz Us Jawan Ka
Qasim Ibn E Hasan Hoon

Qasim Hoon Karwan E Shujat Ka Mir Hoon
Dono Jahan Mein Aap He Apni Nazeer Hoon
Har Khyberi Mahaaz Ka Main Qalageer Hoon
Talwar Ka Dhani Hoon Qalam Ka Ameer Hoon
Seene Mein Dil Hai Fatah E Badar O Hunain Ka
Beta Hasan Ka Hoon Tou Sipahi Hussain Ka

Zahra O Mustafa O Ali O Hasan Hussain
Sajjad Aur Baqir O Jafar Dilon Ke Chain
Kazim Raza Taqi O Naqi Haq Ki Zaib O Zain
Aur Askari O Mehdi E Deen Jan E Mashreqain
Awwal Se Taba Saakin E Khizra Ka Aaina
Hum Tehrwin Baras Mein Hain Chodah Ka Aaina

Sar Par Hai Khood E Nad E Ali Fatha Ki Kaleed
Pehne Hue Hain Jism Pe Hum Zirrah E Al Hadeed
Karte Hain Ran Mein Waqt E Wiga Hamla E Shadeed
Woh Taig Hain Ke Jis Ka Niwala Hai Har Yazeed
Patka Kamar Mein Hai Shah E Aali Sifaat Ka
Taweez Bazuon Pe Hai Baba Ke Hath Ka

Yaad E Shahadat E Shuhada Hai Humare Sath
Farzand E Fatima Ki Wila Hai Humare Sath
Ik Gham Naseeb Maa Ki Dua Hai Humare Sath
Hum Hain Khuda Ke Sath Khuda Hai Humare Sath
Haq Ke Khilaf Kufar Ki Zoor Aazmai Hai
Hum Se Lara Jo Us Ki Khuda Se Larai Hai

Yakja Yahan Pe Kis Ke Sahare Hue Ho Tum
Kya Soch Kar Wiga Ke Sharare Hue Ho Tum
Bazm E Hudebiya Mein Bhi Hare Hue Ho Tum
Baba Hasan Ki Sulha Ke Mare Hue Ho Tum
Musa Hain Sahiron Ke Tamashon Se Kya Larein
Hum Malik E Hayat Hain Lashon Se Kya Larein

Anjam E Karzar Pe Koi Nazar Bhi Hai
Kya Sham Ke Risalon Mein Harf E Sahar Bhi Hai
Seene Akar Ke Taan Rahe Ho Jigar Bhi Hai
Larne Tou Aa Gaye Ho Tumhein Kuch Khabar Bhi Hai
Is Rukh Se Bhi Shikast E Sitam Aashkar Hai
Us Jang Mein Qalam Tha Yahan Zulfiqar Hai

Kufr O Nifaq O Shirk Ke Paidaishi Ghulam
Bad Shakal O Bad Naseeb O Bad Atwar O Kaj Khiram
Bad Nasal O Bad Tamasho Bad Anjam O Bad Kalam
Suraj Se Larne Aaye Hain Shab Zadgan E Sham
Gham Ko Khushi Samajh Ke Uchalna Tou Dekhiye
Chamgadiron Ka Din Mein Nikalna Tou Dekhiye

Jage Ho Shab Ko Dar Se Keh Soye Ho Shamiyon
Aankhein Tou Keh Rahi Hain Ke Roye Ho Shamiyon
Buzdil Safon Ko Saf Mein Piroye Ho Shamiyon
Ab Tak Ghuma Ke Dasht Mein Khoye Ho Shamiyon
Kya Bhool Ho Gayi Hai Ye Samjho Ge Dair Se
Jangal Mein Larne Aaye Ho Aur Woh Bhi Shair Se

Fouj E Kaseer Dekh Ke Itra Rahe Ho Tum
Hinda Ki Le Mein Badar O Ohad Ga Rahe Ho Tum
Bugz E Abu Turab Mein Bal Kha Rahe Ho Tum
Khamosh Hain Tou Munh Pe Charhe Aa Rahe Ho Tum
Tukron Mein Bant Dein Ge Labon Ki Kaman Ko
Guddi Se Khainch Lein Ge Tumhari Zaban Ko

Aaya Hai Sher Ran Mein Giza Lo Ruko Ruko
Jate Kahan Ho Barchiyon Walon Ruko Ruko
Baiyat Ke Ankbot Ke Jalo Ruko Ruko
Pehle Jaml Ki Goud Ke Palo Ruko Ruko
Khani Hai Jang Tum Ne Sheh E Mashreqain Se
Hum Se Bacho Gaye Jab Tou Laro Ge Hussain Se

Ye Keh Ke Sher E Nar Ne Charhai Jo Aasteen
Ulti Mayan E Dasht Safon Par Saf E Laeen
Rahi Saqar Ke Hone Lage Dushmanan E Deen
Hamle Mein Woh Dhamak Thi Keh Hilne Lagi Zameen
Ran Ki Zameen Cheekh Ke Boli Duhai Hai
Ya Rab Abu Turab Ki Kis Se Larai Hai

Abbas E Namdar Se Harf E Dua Liya
Lashkar Samait Shair Ne Ran Ko Utha Liya
Haibat Se Kohsaron Ne Sar Ko Jhuka Liya
Rustam Ne Apne Munh Ko Kafan Mein Chupa Liya
Maula Ali Ka Rang E Wiga Yaad Aa Gaya
Maidaan Mein Kafiron Ko Khuda Yaad Aa Gaya

Aayi Sada Najaf Se Mera Naam Dam Karo
Meri He Tarhan Harf E Shujat Raqam Karo
Dada Ki Jan Taig Ki Raftar Kam Karo
Maidan Tum Ne Jeet Liya Hai Na Gham Karo
Hasrat Ke Ashk Ban Ke Sab Arman Beh Na Jaye
Is Imtehan Mein Malak Ul Maut Reh Na Jaye

Foujon Mein Gul Hua Ke Gayi Zindagi Ki Naao
Panje Se Hum Ko Shair E Nayastan Ke Churao
Uzza Hobul Manat Kahan Mar Gaye Batao
Teeno Ko De Rahe Thy Sada Aao Aao Aao
Hum Muntashir Safon Ki Jo Tanzeem Karte Hain
Qasim Humare Jismo Ko Taqseem Karte Hain

Nara Tha Dasht Mein Umar E Badkhisal Ka
Lo Shamiyon Pe Aa Gaya Lamha Zawwal Ka
Ye Bazuon Ka Zoor Ye Hamla Kamal Ka
Lagta Hai Ye Jawan Hai Batees Saal Ka
Abbas E Namwar Ko Sheh E Mashreqain Ne
De Di Riza Jihad Ki Shayad Hussain Ne

Yun Misl E Zulfiqar Chali Taig E Be Amma
Girne Lage Zameen Pe Chute Ke Pehalwaan
Haibat Woh Thi Keh Jis Se Larazte Thy Aasmaan
Ik Harf E Buzdili Ka Safar Tha Zabaan Zabaan
Bhago Khuda Ke Shair Ke Akas Aaye Hain
Qasim Nahi Ye Hazrat E Abbas Aaye Hain

Woh Paikar E Nifaq Woh Arzaq Woh Feel E Mast
Apni Ajal Ka Karte Hue Khud He Bandobast
Beton Ke Dagh Utha Ke Jo Aaya Laga Ke Jast
Aayi Sada Najaf Se Mere Lal Do Shikast
Har Haal Mein Laeen Ki Gardan Marorna
Ye Munkir E Ghadeer Hai Is Ko Na Chorna

Leave a Comment

error: Content is protected !!