Aye Rozadaro Aaho Buka Ke Ye Roz Hai
Sadaat Per Nuzool e Bala Ke Ye Roz Hai
Sartaj E Ausiya Ki Aza Ke Ye Roz Hai
Tum Se Vida E Sher E Khuda Ka Ye Roz Hai
Rozadaro Qayamat Ke Din Hai
Ibne Muljim Ne Haider Ko Mara
Hum Se Bichra Hai Mola Hamara
Roza Daro Qayamat Kay Din Hai
Khaak e Bewarisi Hai Saron Per
Kalay Parcham Lage Hai Gharon Per
Hum Se Bichra Hai Maula Hamara
Shab Ye Uneeswin Kasi Aayi
Khoon Main Duba Mohammad Ka Bhai
Ro Raha Hai Sahar Ka Sitara
Ibne Muljim Sitam Kaisa Dhaya
Qabr Main Sayeda Ko Rulaya
Kaise Bachon Ka Hoga Guzara
Taigh Sar Pe Ali Ka Lagi Hai
Aaj Shamm e Imamat Bujhi Hai
Dil Yateemo Ka Hai Para Para
Maa Ka Marne Ka Gham Kam Nahi Tha
Aik Koha Alam Aur Toota
Soog Main Ghar Hai Zehra Ka Sara
Ghar Main Haider Ka Aaho Fughan Hai
Eid Nazdeek Gham Ka Samaa Hai
Aisa Ramzan Na Aye Dobara
Umme Kulsoom Zainab Se Bolin
Aaj Baba Ne Aankhen Na Kholin
Maine Shaana Hila Kar Pukara
Sina Kobi Ko Rehan O Mesum
Kyun Na Farsh E Aza Pe Chalain Ham
Ghamzada Chaar Su Hai Nazara
Rozadaron Qayamat Kay Din Hain
Ibne Muljim Ne Haider Ko Mara
