Haye Haider Ke Janazay Pe Ajab Manzar Tha
Betiyaan Qadmo Se Lipati Thin Basad Aah o Buqa
Barh Ke Shabar Ne Jo Chehray Se Kafan Band Kiya
Dekh Kar Bhai Ke Chehray Ko Yeh Zainab Ne Kaha
Rukh Se Ik Bar Kafan Our Hata Do Bhaiya
Mere Baba Ka Mujhe Chehra Dikha Do Bhaiya
Aaj Baba Jo Mere Ghar Se Chaley Jaein Gaye
Phir Mujhe Sham-e-Ghareebaan Mein Nazar Aaein Gaye
Itnay Din Kaisay Guzaron Gi Bata Do Bhaiya
Jaise Amma Ki Rida Mein Thi Shifa Nana Ki
Kiya Yeh Mumkin Hai Ke Uth Jaein Mere Baba Bhi
Meri Chadar Mere Baba Ko Urha Do Bhaiya
Haye Shabir Se Zainab Ne Kaha Ro Ro Kar
Soona Lagta Hai Amamay Ke Bina Baba Ka Sar
Sar Pe Baba Ke Amama Tu Saja Do Bhaiya
Kaisay Batlaein Yeh Dil Gham Se Phata Jata Hai
Kya Juda Baap Se Ho Kar Bhi Jiya Jata Hai
Apni Behno Ko Faqat Itna Bata Do Bhaiya
Aa Rahi Hoon Gi Baqiya Se Sada Sun Ke Meri
Sar Pe Baba Ke Na Par Jaye Nazar Amma Ki
Zakhm Amma Ki Nigahon Se Chupa Do Bhaiya
Gham Mein Baba Ke Tarapta Hai Zara Dekho Tu
Door Betha Hai Bola Lao Mere Ghazi Ko
Pas Kuch Dair Tu Baba Ke Bitha Do Bhaiya
Khon Baba Ki Jabeen Se Woh Gira Tha Jis Pe
Apne Baba Ki Nishani Main Bana Loon Gi Issay
Mere Baba Ka Musalla Mujhe La Do Bhaiya
Ghar Se Jata Tha Janaza Jo Ali Ka Bahir
Betiyaan Kehti Thin Zeeshan o Raza Ro Ro Kar
Aakhri Bar Tu Baba Se Mila Do Bhaiya
