Karb O Bala Se Taaba Madina
Usko Har Manzar Ne Rulaya
Sajjad Roya Or Bohot Roya
Abid Ko Zainab Ne Jagaya Jab Hangama e Asr Hua
Khaime Ka Jo Parda Hataya Zabt Ka Phir Yaarana Na Raha
Pehli Baar Jo Shah Ke Sar Ko Khuli Ne Naize Pe Charhaya
Be Chaddar Sayyidaniyon Pe Bazaar Mein Pathar Jab Barse
Chehra Zakhmi Ho Jate Tha Haath Pas e Gardan Tha Bandha
Dekh Ke Yeh Manzar Ghazi Ne Sar Ko Naize Se Giraya
Dekha Sajjad Ne Aik Din Paani Le Aaya Hai Shakhi
Dil Mein Socha Ab Tu Meri Yeh Behna Paani Pee Le Gi
Aur Sakina Ne Wo Paani Jab Uski Bheegi Pe Giraya
Bola Jab Darbaar Mein Zalim Kaun Hai In Mein Bint e Ali
Us Dam Har Sayidani Zainab Ke Aagaye Paa Jhukati Thi
Bibiyon Ko Jab Shimar Laeen Ne Naam Unka Le Le Ke Bulaya
Fizza Boli Zakhmon Mein Peyvast Hai Bachi Ka Kurta
Aur Kafan Ke Hotay Huay Sajjad Kafan Bhi De Na Saka
Khoon Bhare Kurte Mein Jis Dam Bali Sakina Ko Dafnaya
Karb O Bala Se Aa Ke Madina Jab Bazaar Wo Jata Tha
Dekh Ke Usko Daaltay Tha Kasaab Zabihon Par Kapra
Dekha Jab Bhi Koi Zabiha Keh Ke Baba Haye Baba
Karta Hai Minhaal Riwayat Aksar Aisa Hota Tha
Jab Awaaz Azaan Ki Aati Mera Maula Rota Tha
Aur Namaz Ke Waqt Kabhi Jo Paani Wuzu Ka Samne Aaya
Mere Betay Ki Shadi Hai Zohri Ne Aa Kar Jo Kaha
Yaad Aaya Sajjad Ko Apne Bhai Akbar Ka Lasha
Karbala Ke Baad Kisi Ne Jab Usko Shadi Mein Bulaya
Baba Ka Be Gor O Kafan Lasha Mar Ke Bhi Yaad Raha
Haaye Re Sajjad Ka Lasha Khoon Ke Aansu Rota Tha
Yad Aayi Bekafan Padar Ki Jab Kafan Baqir Ne Pehnaya
Zille Raza Meri Aankhon Mein Koi Bhi Lamha Aisa Nahi
Jis Lamhay Mein Mera Maula Khoon Ke Aansu Roya Nahi
Noha Ye Farhan Ali Ne Jab Bhi Kabhi Majlis Mein Sunaya
