Sakina Par Yateemi Ke Hue Maani Ayaan Baba
Bana Chehre Pe Jab Pehla Tamache Ka Nishan Baba
Mere Chehre Se Mit Jayein Nishan Shayad Tamacho Ke
Nahi Mitna Sitamgar Ki Anghothi Ka Nishan Baba
Teri Taskeen Jaan Beti Hai Aur Zindan Ki Garmi Hai
Badal Kar Reh Gaya Matlab Sakina Ka Yahan Baba
Baraste Patharon Main Sab Sar E Bazaar Thi Bikhri
Tere Bikhre Hue Balon Ki Surat Bibiyan Baba
Main Dadi Ki Tarhan Chalti Hoon Amma Ke Sahare Par
Shikasta Ho Chuki Hain Ab Meri Bhi Pasliyan Baba
Kaha Saqlain Bibi Ne Qaza Par Bhi Aziyyat Hai
Tumhi Ab Kholna Gardan Se Meri Rassiyan Baba
Poet: Saqlain Akbar
Soz: Waheed ul Hassan Kamalvi
Matami Sangat: Guldasta-e-Jafferia
