Sakina Watan Chalo

Zindan Khul Gaya Hai Sakina Watan Chalo
Sajjad Keh Ke Gir Para Choti Si Qabr Par
Mazloom Aise Gir Para Turbat Pe Bhen Ki
Jaise Hussain Tha Gira Akbar Ki Lash Par

Dekho Nhi Rahi Mere Hathon Main Ab Rasan
Jane Laga Hai Qafila Ab Loat Kar Watan
Lekin Tu Bhen Shaam Main Qaidi He Reh Gayi
Kha Kar Tamache So Gayi Zindan Ki Khaak Par

Karta Hoon Yaad Ro Ke Main Manzar Wo Dard Ka
Kano Ke Zakhm Par Jo Tamacha Tujhe Laga
Baba Ko Tu Sina Pe Sada Deti Reh Gayi
Baba Sina Pe Rote Thy Tab Tujh Ko Dekh Kar

Amma Ki Tarhan Tujh Ko Na Mil Payi Thi Rida
Baba Ki Tarhan Tujh Ko Kafan Bhi Na Mil Saka
Pathar Bhi Khaye Shaam Main Tu Ne Meri Tarhan
Naqqe Se Gir Ke Hogayi Teri Bhi Kham Kamar

Main Le Ke Tujh Ko Sham Se Wapis Na Ja Saka
Baba Ko Kya Bataon Main Ab Ja Ke Karbala
Kurtay Main Dafn Kar Ke Banayi Teri Lehad
Abid Ko Khoon Rulaye Ga Ye Dard Umr Bhar

Karbal Main Chin Gayi Thi Tere Sar Se Jo Rida
Wapas Main La Chuka Hoon Usay Dekh Tou Zara
Sar Par Main Tere Rakhta Rida Apne Hath Se
Afsos Haye Sham Mein Tu Na Rahi Magar

Amma Ke Bain Sun Ke Nikalti Hai Jaan Meri
Kehti Hai Umr Bhar Na Wo Saye Main Jaye Gi
Kaise Uthaon Ujari Hui Maa Ko Tu Bata
Teri Lehad Se Maa Ki Bhi Hat Ti Nahi Nazar

Wo Rukhsat E Hussain Pe Zainab Ka Imtehaan
Aisa He Aaj Phir Se Hai Zindan Ka Samaa
Sajjad Ho Raha Hai Juda Aise Behan Se
Uthte Hai Ro Ke Qabr Se Girte Hai Qabr Par

Likhun Sahab Kis Tarhan Mehshar Ka Marhala
Tha Gham Ki Inteha Pe Bhi Abid Ka Hosla
Zinda Behan Ki Qabr Se Uth Kar Chala Gaya
Ahwal E Gham Sunane Ko Baba Ki Qabr Par

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *