Bawafa Ghazi Mere
Salam Ghazi Salam Ghazi
Wafa Ka Tu Hai Imam Ghazi
Jagah Jagah Hai Alam Gawahi
Dilon Pe Teri Hai Badshahi
Labon Pe Tera He Naam Ghazi
Tere Alam Ka Hai Hum Pe Saaya
Alam Pe Saaya Hai Panjtan Ka
Baland Tera Maqam Ghazi
Alam Ka Jab Se Hua Hai Saya
Zameen e Karb o Bala Pe Moula
Tera Hai Chalta Nizaam Ghazi
Tu Bawafa Hai Tu Lafata Hai
Be Aasron Ka Tu Aasra Hai
Jahan Mein Charcha Hai Aam Ghazi
Hussain Mola Se Pyaar Karna
Hussain Par Jaan Nisaar Karna
Yehi Hai Tera Payaam Ghazi
Jo Tere Bazaoo Qalam Na Hote
Aseer Ahl e Haram Na Hote
Na Jaati Zainab Yun Shaam Ghazi
Ghulam Sharminda Hai Ye Moula
Na Laasha Khaimon Mein Leke Jana
Tha Lab Pe Tere Kalaam Ghazi
Jawad O Sarwar Jab Aaye Sarwar
Bureeda Bazoo Tha Ibn e Haider
To Kaise Karta Salaam Ghazi
