Likh Fatima Zehra Ki Sana Aur Zyada
Kar Dega Karam Tujh Pe Khuda Aur Zyada
Kausar Ko Ata Kar Ke Sada Di Ye Khuda Ne
Banta Hai Khadija Ka Sila Aur Zyada
Maa Ne Kaha Karni Hai Mujhe Majlis E Zehra
Beta Zara Mehnat Se Kama Aur Zyada
Aasar E Nidamat Jo Pare Hur Ki Jabin Par
Shabbir Ne Rumaal Kasa Aur Zyada
Mehdi Se Mulaqat Ho Yun Waqt Ki Chakki
Aye Bibi Zara Tez Chala Aur Zyada
Wo Dekh Dua Deti Hain Hasnain Ki Madar
Matam Mein Zara Haath Utha Aur Zyada
Matam Ki Ibadat Ho Ya Sajde Ki Ibadat
Dil Dono Namazon Mein Laga Aur Zyada
Raahib Ki Taraf Dekh Ke Shabbir Pukare
Ye Saat Pisar Kaafi Hain Ya Aur Zyada
Ik Noor Nazar Aayega Hamrah Ali Ke
Meraj Ka Parda Jo Utha Aur Zyada
Jo Khud Ko Samajhti Hai Kaneez E Dar E Zehra
Us Sar Pe Zaroori Hai Rida Aur Zayada
Maukib Se Koi Pyasa Nahi Jaye Takallum
Zawwaron Ko Awaz Laga Aur Zyada
