Saqqa E Sakina Abbas Abbas

Saqqa E Sakina Abbas Abbas
Do Mujh Ko Sahara Abbas Abbas

Thehri Hui Nazrain Hain Meri Tere Alam Par
Shak Mujh Ko Nahi Koi Tere Lutf O Karam Par
Tu Bab E Hawaij Hai Nazar Rakhta Hai Hum Par
Mushkil Se Bachana

Bin Hathon Ke Tum Jholiyan Bhar Dete Ho Maula
Ahsaan Karo Mujh Pe Main Banda Hon Tumhara
Muflis Hon Bahut Karbobala Aa Nahi Sakta
Kya Tum Se Chhupana

Sab Ranj O Alam Maine Zamane Se Chupaye
Aya Hon Tere Samne Hathon Ko Uthaye
Muh Moar Gaye Mujhse Sabhi Apne Paraye
Dil Zakhmi Hai Mera

Duniya Ki Musibat Ne Mujhe Ghair Liya Hai
Aaqa Tera Khadim Ye Pareshan Hua Hai
Tum Mujh Ko Bacha Loge Mujhe Ye Bhi Pata Hai
Bas Der Na Karna

Abbas Habib Ibne Mazahir Se Ye Kehna
Zawwaro’n Ki Faherist Mein Ab Naam Ho Mera
Samaan E Safar Bhi Mera Tayyar Hai Maula
Tum Mujh Ko Bulana

Zehra Ki Qasam Hai Meri Uljhan Ko Mita Do
Ek Phool Alam Se Mere Daman Mein Gira Do
Himmat Mujhe Mil Jaye Ishare Se Bata Do
Tum Sath Ho Maula

Tu Bhai Hai Shabbir Ka Haidar Ka Hai Beta
Duniya Mein Nahi Itna Sakhi Koi Itna Gharana
Teri Hi Sakhawat Ka Zamane Mein Hai Charcha
Tu Dar Hai Ata Ka

Sar Par Nahi Jin Logo’n Ke Maa’n Baap Ka Saya
Un Sab Ke Nigehban Tum Hi Ho Mere Maula
Madar Ka Hi Anchal Hai Ye Parcham Ka Pharehra
Karte Raho Saya

Dete Hain Sakina Ki Qasam Is Liye Maula
Hai Mesum O Azlan Ka Maula Ye Aqida
Tum Rad Nahi Kar Sakte Kabhi Bhi Ye Wasila
Hai Pura Bharosa

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *