Sar E Hussain

Goudi Mein Le Ke Baithi Hai Zahra Sar e Hussain
Zakhmi Hai Maa Ke Haathon Le Jaisa Sar e Hussain

Ek Maa Dihayi Deti Rahi Aur Laeen Ne
Naize Pe Rakh Ke Zulfon Se Bandha Sar e Hussain

Rakkha Alag Alag Gaya Sanduq Main Magar
Akbar Ke Sar Ke Saath He Nikla Sar e Hussain

Naqe Se Jitni Baar Giri Dukhtar e Hussain
Naize Se Utni Baar Gira Tha Sar e Hussain

Ek Goadi Main Sakin Ki Ek Baar Qabr Mein
Do Baar Qaid Khane Main Aaya Sar e Hussain

Sheerin Se Jo Kiya Tha Wo Wada Nibha Diya
Pohche Nahi Hussain Tu Pohncha Sar e Hussain

Aise Tu Zabah Hota Nahi Gosfand Bhi
Hans Hans Ke Jaise Shimar Ne Kaata Sar e Hussain

Zainab Ko Yaad Aa Gaye Bose Rasool Ke
Rahon Main Patharon Ne Chuma Sar e Hussain

Balon Main Gard Abroo Takallum Kate Hue
Acha Hua Na Sughra Ne Dekha Sar e Hussain

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *