Bachpan Se Tumhara Main Azaadar Hoon Mola
Ghar Ghar Main Sada Apka Farsh E Aza Dekha
Main Is Se Juda Reh Nahi Sakta
Ye Majlis O Matam Rahe Mola
Ye Dil Ki Dua Dil Ki Dua Hai
Shad Rahe Karbala Abaad Rahe Karbala
Dil Ki Ye Dua Hai Ya Hussain
Silsila Dar Silsila
Jari Rahe Ye Sada Hussain
Badshah Hussain Ki Saltanat Hai Karbala
Jiska Pasban Hai Mola Ghazi Bawafa
Ap Ne Hussain Ba Khuda
Khoon Se Saja Di Karbala
Karbala Ki Aye Khuda Yani Ye Rahe Sada
Mola Ne Basa Diya Aisa Sheher Karbala
Jiski Khaak Bhi Shifa Jiski Janaati Fiza
Dusri Na Hogi Karbala
Hoga Na Hussain Dusra
Honge Na Kabhi Juda Ab Hussain O Karbala
Dharkanon Main Ba Khuda Goonjti Hai Karbala
Har Sada Main Ja Baja Bolti Hai Karbala
Kehta Hai Zamana Ya Hussain
Ya Hussain Hussain Hussain Hussain
Gham Tumhara Ho Sada Aye Shaheed E Karbala
Hum Ko Waledayin Ne Karbala Batayi Hai
Sath Le Gaye Humein Karbala Dekhayi Hai
Ziyaratein Na Bhool Payein Ge
Din Humein Wo Yaad Ayein Ge
Hai Khuda Se Iltija Sabko Karbala Dekha
Zindabad Ya Hussain Ya Hussain Zindabad
Panjetan Ke Panchwein Noor E Ain Zindabad
Marhaba Hussain Marhaba
Ap Ne Kamal Kardiya
Azmaton Ke Badshah Apki Rahe Ata
