Shimr Kehta Tha Mat Suno Mukhtar

Shimr Kehta Tha Mat Suno Mukhtar
Maine Kaise Hussain Ko Maara

Jab Hua Main Sawaar Seenay Par
Lab Hilane Laga Tera Mola
Pyaas Main Bad Duaein Dene Lage
Mujh Ko Shabbir Aisa Lagta Tha
Maine Honto Pe Kaan Rakh Ke Suna
Wo Tou Ghazi Ko Yaad Karta Tha

Kaisi Gurbat Thi Ibn E Zehra Par
Dekhti Thi Sakina Ye Manzar
Mere Haatho Main Sheh Ki Daarhi Thi
Main Rulata Raha Usay Hans Kar
Laash E Abbas Bhi Tarapne Lagi
Jab Tamancha Hussain Ko Mara

Us Ki Aankho Main Jane Kya Tha Ameer
Koi Nazrein Nahi Milata Tha
Main Bhi Aankhein Na Us Ki Dekh Saka
Is Liye Chehra Us Ka Pher Diya
Ye Waja Thi Jo Pusht E Gardan Se
Tere Mola Ko Zibha Maine Kiya

Wo Jo Ik Nehr Hai Wahan Jaari
Tera Mola Wahan Tha Zeen Se Gira
Umar E Saad Ne Kaha Mujh Se
Qatl Is Ko Nashaib Main Karna
Main Yahan Qatl Gaah Tak Mukhtar
Us Ko Zulfo Se Khench Kar Laya

Haan Wo Lamha Ajeeb Tha Mukhtar
Mere Haatho Mein Tez Thi Talwaar
Kund Ho Jata Tha Mera Khanjar
Maine Yun Bhi Kiye Thy Tera Waar
Mujh Se Katta Na Tha Gala Us Ka
Us Ki Maa Ne Tha Haath Rakha Hua

Aik Teela Hai Karbala Main Jahan
Ro Rahi Thi Behan Khari Us Ki
Minnatein Kar Rahi Thi Har Ek Ki
Keh Rahi Thi Nahi Chalao Churi
Us Ne Sattar Kadam Se Kattay Hue
Apne Bhai Ka Khud Gala Dekha

Us Ne Dekha Jab Aa Gayi Zainab
Mujh Se Shabbir Ro Ke Kehne Laga
Shimr Jane De Us Ko Khaime Main
Apna Khanjar Chupa Le Us Se Zara
Shimr Zaanu Hata Le Seenay Se
Wasta Hai Tujhe Muhammad Ka

Mir Sajjad Sun Ke Us Ke Sitam
Sare Darbaari Bain Karne Lage
Bola Shimr E Laeen Aye Mukhtar
Kuch Dikhaon Agar Ijazat De
Jis Pe Khoon Tha Ghareeb E Zehra Ka
Us Ne Khanjar Wo Sab Ko Dikhlaya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *