Shimr Kehta Tha Mat Suno Mukhtar

Shimr Kehta Tha Mat Suno Mukhtar
Maine Kaise Hussain Ko Mara

Jab Hua Main Sawaar Seenay Par
Lab Hilaane Laga Tera Mola
Pyaas Main Bad Duaaein Dene Lage
Mujh Ko Shabbir Aisa Lagta Tha
Maine Honto Pe Kaan Rakh Ke Suna
Wo Tou Ghazi Ko Yaad Karta Tha

Kaisi Gurbat Thi Ibne Zehra Par
Dekhti Thi Sakina Ye Manzar
Mere Haatho Main Sheh Ki Daarhi Thi
Main Rulaata Raha Usay Hans Kar
Laash E Abbas Bhi Tarapne Lagi
Jab Tamacha Hussain Ko Maara

Us Ki Aankho Main Jane Kya Tha Ameer
Koi Nazrein Nahi Milata Tha
Main Bhi Aankhein Na Us Ki Dekh Saka
Is Liye Chehra Us Ka Pher Diya
Ye Waja Thi Jo Pusht E Gardan Se
Tere Mola Ko Zibha Main Ne Kiya

Wo Jo Ik Nehr Hai Wahan Jaari
Tera Mola Wahan Tha Zeen Se Gira
Umar E Saad Ne Kaha Mujh Se
Qatl Is Ko Nashaib Main Karna
Main Yahan Qatl Gaah Tak Mukhtar
Us Ko Zulfo Se Khench Kar Laya

Han Wo Lamha Ajeeb Tha Mukhtar
Mere Haatho Main Tez Thi Talwaar
Kund Ho Jata Tha Mera Khanjar
Maine Yun Bhi Kiye Thy Tera Waar
Mujh Se Kat Ta Na Tha Gala Us Ka
Us Ki Maa Ne Tha Haath Rakha Hua

Aik Teela Hai Karbala Main Jahan
Ro Rahi Thi Behan Khari Us Ki
Minnatein Kar Rahi Thi Har Ik Ki
Keh Rahi Thi Nahi Chalao Churi
Us Ne Sattar Qadam Se Kat Te Huwe
Apne Bhai Ka Khud Gala Dekha

Us Ne Dekha Jab Aa Gayi Zainab
Mujh Se Shabbir Ro Ke Kehne Laga
Shimr Jane De Usko Khaime Main
Apna Khanjar Chupa Le Us Se Zara
Shimr Zaanu Hata Le Seenay Se
Wasta Hai Tujhe Muhammad Ka

Mir Sajjad Sun Ke Us Ke Sitam
Sare Darbari Bain Karne Lage
Bola Shimr E Laeen Aye Mukhtar
Kuch Dikhaon Agar Ijaazat De
Jis Pe Khoon Tha Ghareeb E Zehra Ka
Us Ne Khanjar Wo Sab Ko Dikhlaya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *