Shukria Mola Raza

Shukria Mola Raza
Hajj Ghareebon Ka Tere Dar Py Huwa

Tang Dasti Mein Bhala Kaise Safar Par Jate
Istetaat Hi Nahi Thi Keh Woh Hajj Par Jaty
Hajj Yun Mashaad Mein Ghareebon Ne Kiya

Qasam Allah Ki Hum Log Nahi Thy Qabil
Tu Ne Zawwaron Mein Apne Kiya Hum Ko Shamil
Hum Ny Bhi Dekh Liya Roza Tera

Tere Badon Ke Muqaddar Hai Tera Dastar Khuwan
Man O Salwa Ke Barabar Hai Tera Dastar Khuwan
De Di Duniya Mein Hi Jannat Ki Ghiza

Jadd Ki Midhat Ka Tujhe Shoq Bara Hai Mola
Shayeron Par To Teri Khas Ata Hai Maola
Le Ky Inaam Yeh Debal Ny Kaha

Han Samajhta Hun Tere Nam Ki Azmat Main Bhi
Husn E Yousuf Ki Laga Sakta Hun Qeemat Main Bhi
Hai Mere Pas Jo Sikka Tera

Jab Se Maine Hai Parha Aap Ka Farman E Majeed
Aap Aur Aap Ky Ghar Waly Hain Shart E Toheed
Baad E Kalma Hun Main Tab Se Kehta

Apny Zaair Ko Na Mehroom Rakha Tu Ne Kafeel
Hai Tere Sehn Mein Mojood Sunehri Jo Sabeel
Zaiqa Us Ka Hai Zam Zam Jaisa

Din Nikalne Ki Khabar Ho Keh Woh Dhalne Ka Bayan
Subah Uthne Ki Salami Ho Ya Sony Ka Payam
Assalam O Alaika Ya Ghareeb Al Ghurbaa
Dono Pehron Hai Yeh Naubat Ki Sada

Kar Diya Shair Ko Tasveer Se Zinda Jaise
Khak Ke Zarry Se Masooma E Qum Ky Sadqay
Aap Ny Mir Hasan Mir Kiya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *