Shukriya Ya Fatima s.a

Matami Mujh Ko Banaya Aap Ne Mazloom Ka Shukriya Ya Fatima
 Meri Mati Mein Bhi Rakh Di Aap Ne Khak-e-Shifa Shukriya Ya Fatima

Jab Bichaya Farsh-e-Matam Hazrat-e-Shabeer Ka
Pursa Lainay Qabar Se Aaein Mere Ghar Fatima
Yeh Mera Kacha Makaan Bhi Rashk-e-Janat Ho Gaya Shukriya Ya Fatima

Dil Bhatakta Tha Mera Dunya Ke Gham Mein Dar Badar
Aap Ne Kar Ke Meri Kotahiyon Ko Darguzar
Bakhshwane Ke Liye Karb-o-Bala Bulwa Liya Shukriya Ya Fatima

Zulm Ka Aiwan Khutbay Se Giraya Aap Ne
Haq Miley Ya Na Miley Sar Na Jhukaya Aap Ne
Nusrat-e-Mazloom Ka Hum Ko Dikhaya Rasta Shukriya Ya Fatima

Jab Bandhi Gardan Mein Rasi Shah-e-Khaybar Geer Ke
 Apne Wali Ko Bachaya Zalimo Se Aap Ne
 Hashar Tak Haider Ke Lab Par Hai Tabhi Yeh Marsiya Shukriya Ya Fatima

Ahteram-e-Fatima Ka Yeh Mila Uss Ko Sila
Uss Ka Qad Bhi Anbiya Se Aik Lamhey Mein Barha
Rukh Baqiya Ki Taraf Kar Ke Yeh Di Hur Ne Sada Shukriya Ya Fatima

Ja Ke Balway Mein Bachaya Ismat-e-Shabeer Ko
Tarbiyaat Youn Aap Ne Di Zainab-e-Dilgeer Ko
Meri Behno Ko Bhi Parday Ka Saleeqa Aa Gaya Shukriya Ya Fatima

Jab Suni Maa Ne Madine Mein Yeh Zainab Se Khabar
 Ho Gaye Shabeer Pe Qurban Oss Ke Sab Pisar
Keh Ke Yeh Umm Ul-Baneen Ne Shukar Ka Sajdah Kiya Shukriya Ya Fatima

Dekhtey Hain Aik Hasrat Se Teri Tooti Lehad
Or Bhala Darwaish Kya Hogi Kareemi Ki Sand
Tu Ne Har Ik Matami Ka Dil Baqiya Kar Diya Shukriya Ya Fatima

Leave a Comment

error: Content is protected !!