Shukriya Ya Fatima sa

Maatmi Mujhko Banaya Aap Ne Mazloom Ka
Meri Matti Main Bhi Rakh Di Aap Ne Khaak E Shifa
Shukriya ya Fatima

Jab Bichaya Farsh E Matam Hazrat E Shabbir Ka
Pursa Lene Qabr Sa Aayi Mere Ghar Fatima
Ye Mera Kacha Makaan Bhi Rashk E Jannat Hogaya

Dil Bhatakta Tha Mera Duniya Ka Ghum Main Darbadar
Aap Ne Kar Ka Meri Kotaahiyon Ko Darguzar
Bakhshwane Ka Liye Karbobala Bulwa Liya

Zulm Ka Aiwaan Khutbay Sa Sa Giraya Aap Ne
Haq Mila Ya Na Mila Sir Na Jhukaya Aap Ne
Nusrat E Mazloom Ka Hum Ko Dikhaya Rasta

Jab Bandhi Gardan Main Rassi Shah E Khaibargeer Ke
Apne Wali Ko Bachaya Zaalimo Say Aap Ne
Hashr Tak Haider Ke Lab Per Hai Tabhi Ye Marsiya

Ehteraam E Fatima Ka Ye Mila Usko Sila
Uska Qad Bhi Ambiya Sa Ek Lamha Main Barha
Rukh Baqayya Ki Taraf Kar Ke Yeh Di Hur Ne Sada

Ja Ke Balwa Main Bachaya Ismat E Shabbir Ko
Tarbiyat Yun Aap Ne Di Zainab E Dilgeer Ko
Meri Behno Ko Bhi Parda Ka Saleeqa Aa Gaya

Jab Suni Maan Ne Madeena Main Ye Zainab Sa Khabar
Ho Gaye Shabbir Per Qurban Uska Sab Pisar
Keh Ka Ye Ummul Baneen Ne Shukr Ka Sajda Kia

Dekhta Hain Ek Hasrat Sa Teri Tooti Lahad
Aur Bhala Darvaish Kiya Hogi Kareemi Ki Sanad
Tu Ne Her Ik Maatmi Ka Dil Baqaya Kar Diya

Leave a Comment

error: Content is protected !!