Mola Ya Hussain Mola Mola
Sadqain Jawa Tere Mola Hussain
Zehra Ka Laal Hussain Sohna Lajpal Hussain
Tujh Ko Aaghosh E Risalat Ne Uthaya Aise
Noor Ki Rahl Pe Quran Rakha Ho Jaise
Chadar E Fatima Zehra Mein Chhupa Kar Tujh Ko
Pursa Lete The Ali Aur Yehi Kehte The
Fitras Ko Dede Shifa Dede Par O Baal Hussain
Kya Likhun Wo Tere Bachpan Ki Adain Wallah
Pusht E Nana Pe Nawase Ka Safar Mashallah
Eid Ke Roz Madine Mein Ajab Tha Manzar
Dekh Kar Ahl E Madina Ne Kaha Bismillah
Hai Ye Sawari Kamal Sawaar Bhi Kamal Hussain
Sar Jhukae Jo Tere Dar Pe Para Rehta Hai
Tu Use Ishq Ki Parwaaz Ata Karta Hai
Karbala Jab Se Mujhe Tune Dikhai Mola
Tera Darwaish Hawaon Mein Ura Phirta Hai
Dar Pe Guzaron Tere Din Maheen e Saal Hussain
Teri Chaukhat Ki Faqiri Mein Hai Shahi Ka Maza
Teri Dehleez Pe He Bigra Muqaddar Badla
Unche Mahlo Se Tu Behtar Hai Mera Dil Mola
Jis Mein Tu Rehta Hai Aur Sath Tere Aal E Aba
Is Dil Main Ghar Hai Tera Main Hon Mala Maal Hussain
Tere Aane Se He Wal Asr Ko Tafseer Mili
Yani Peshan E Islam Ko Tanveer Mili
Hur Ki Taqdeer Likhi Tune Ali Ke Bete
Is Gunahgaar Ko Bhi Khuld Ki Jageer Mili
Aasiyon Ka Rakhta Hai Kaun Yun Khayal Hussain
Tune Is Dharti Pe Jis Roz Rakha Pehla Qadam
Mil Gaya Khaak Mein Duniya Ke Yazeedon Ka Bharam
Sajda E Shukar Risalat Ne Kiya Ye Keh Kar
Ab Mere Qoul Ki Tasdeeq Hui Rab Ki Qasam
Deen Ki Hayaat Hussain Deen Ki Hai Dhaal Hussain
Aur Kuch Mazhar O Farhan Ko Bhata He Nahi
Mola Ab Hum Ko Koi Khwahish E Duniya He Nahi
Tere Mimbar Ki Bulandi Pe Khade Hain Mola
Is Se Unchi Koi Manzil Koi Rutba Hi Nahin
Ab Is Bulandi Ko Kar De La Zawaal Hussain
