Subhana Rabbi Al Aala

Subhana Rabbi Al Aala
Khanjar Tale Hussain Ye Dete Rahe Sada

Asghar Ko Tere Naam Par Qurban Kar Diya
Gathri Mein Tere Wastay Qasim Utha Liya
Maine Teri Azaan Par Akbar Kiya Fida

Jis Dam Hussain Zeen Se Utre Zameen Par
Zakhmo Se Chur Chur Thy Sibt E Nabi Magar
Pyase Labon Pe Jaari Thi Tasbeeh E Kibriya

Kehta Hai Apne Dil Mein Wo Parwardigar Se 
Kya Ye Kabhi Humari Sakina Ke Wastay
Ab Seene Par Sawaar Hai Qatil Agar Tou Kya

Baazu Tarap Rahe Thy Kisi Ke Lab E Furaat
Haste Hue Jo Khooli Ne Mujh Par Uthaya Haath
Lekin Lab E Hussain Par Jaari Rahi Sada

Pyaasa Ho Zibha Dasht Mein Aur Dekhein Bibiyan
Manzoor Ye Tujhe Hai Agar Rab E Do Jahan
Raazi Teri Reza Pe Hai Zahra Ka Laadla

Dete Nahi Ye Paani Jo Zahra Ke Chain Ko
Kya Dukh Hai Tu Ne Bakhsha Hai Kausar Hussain Ko
Sola Peher Ki Pyaas Ka Shikwa Nahi Zara

Tukre Mere Misal E Alif Laam Meem Ho
Lut Jaye Mera Ghar Mere Bache Yateem Ho
Har Haal Mein Kahe Ga Nawasa Rasool Ka

Nana Bhi Aaye Hain Mere Baba Bhi Aaye Hain
Madar Ko Meri Bhai Hasan Saath Laye Hain
Sad Shukr Surkhru Main Buzurgo Se Hogaya

Sheh Par Chali Jo Zarb Takallum Wo Aakhri
Kat Ti Hui Ragon Ki Musalsal Sada Ye Thi
Maine Jo Tujh Se Wada Kiya Tha Nibha Diya

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *