Surah e Kahaf

Sura e Kahf Sunata Hai Ye Sar Kiska Hai
Khoon Ankho Se Bahata Hai Ye Sar Kiska Hai

Chalte Chalte Jo Sakina  Kahi Gir Jati Hai
Khud Ko Naize Se Girata Hai Ye Sar Kiska Hai

Jis Taraf Jata Hai Bazar Main Sar Akbar  Ka
Us Taraf Dekhta Jata Hai Ye Sar Kis Ka Hai

Jab Bhi Dakhil Kisi Bazaar Main Hote Hai Haram
Pehla Patthar Yehi Khata Hai Ye Sar Kiska Hai

Raat Hoti Hai Tu Masoom Si Ek Bachi Ko
Loari Naize Se Sunata Hai Ye Sar Kiska Hai

Parrh Ke Quraan Ki Ayaat Sare Zainab Se
Dhayan Logon Ka Hatata Hai Ye Sar Kiska Hai

Ye Sama Kaash Na Dekhe Koi Khwahar Iski
Shimr Zulfon Se Uthata Hai Ye Sar Kiska Hai

Mir Sajjad Nahi Kya Koi Waris Iska
Isko Har Ek Satata Hai Ye Sar Kiska Hai

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *